💠PART - 02 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

IMAM-E-HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ki SHAHAADAT Ke Tafseeli Waaqiaat jaanne ke Liye SADRUL AFAAZIL MAULANA SAYYED NAEEM UDDIN MURAADABADI رَحمَتُ الـلَّـهِ تَعَالَى عَـلَـيـه Ki Kitaab"SAWAANEH KARBALA" Ka Mutaala Kiya Jaa Sakta Hai. Mukhtasar Yeh Hai ke HUSAINI KAAFILE Me'n Bachche, Khwaatin aur Mard Mila kar "72" Nufoos (Hastiyaa'n, Log) The Jo ke Jang ke Iraade Se Bhi Nahi Aaye The. Un ke Muqaable Ke Liye Yazeedi Fauj "22,000" Hazaar Sawaar aur Paidal Musallah-Afraad(Hatyaar Ke Saath Wale Log) Par Mushtamil (Shaamil) The. Is ke Baa-Wajood zaalimo'n ne AHLEBAIT AT'HAAR Rizwan ALLAH Ta'ala Ajmaeen Par Daryaa-e-Faraat Ka Paani Band Kar Diya. Teen (3) Din ke Bhooke Pyaase IMAM AALI MAQAAM RadiALLAHU Ta'ala Anhu Apne "18" AHLE BAIT Aur Deegar "54" Jaan Nisaaro'n Ke Hamraah (Saath)"10" Muharram, "61" Hijri Ko KARBALA Mein Nihaayat Be Dardi se SHAHEED Kar Diye Gaye.

اِناَّ لـِلَّـهِ وَ اِناَّ اِلَـيـهِ رَاجِـعُــون.

HAZRAT IBN-E-ABBAS RadiALLAHU Ta'ala Anhu Riwaayat hai ke Ek Din Dopaher ke Waqt Mai Ne RASOOLALLAAH Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ko Khwaab Me'n Dekha ke GESU-E-MUBAARAK(BAAL MUBAARAK) Bikhre Hue Hai'n aur DAST-E-MUBAARAKMe'n Khoon se Bhari Hui Ek Bottle Hai.Mai Arz Guzaar Hua ke Mere MAA BAAP AAP Par Qurbaan ! Yeh Kya Hai?

AAP Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Farmaaya:
"Yeh HUSAIN Aur Us Ke Saathiyo'n Ka Khoon Hai. MAI Din Bhar Ise Jama Karta Raha Hoon".

HAZRAT IBN-E-ABBAS RadiALLAHU Ta'ala Anhu Farmaate Hai'n Ke Mai Ne Woh Waqt Yaad Rakkha, Baad

💠PART - 03 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

""HAZRAT SALMAA RadiALAHU Ta'ala Anha Se Riwaayat Hai Ke Mai HAZRAT UMME SALEEM RadiALLAHU Ta'ala Anha Ki Khidmat Me'n Haazir Huwi Aur Wo Zaar-O-Kataar Ro Rahi Thi'n.""
""HAZRAT SALMAA RadiALAHU Ta'ala Ne HAZRAT UMME SALEEM RadiALLAHU Ta'ala Anha se Arz Kiya, Aap Kyu'n Roti Hai'n?""
""HAZRAT UMME SALEEM RadiALLAHU Ta'ala Anha ne Farmaya: Mai Ne RASOOLALLAH Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam ko Khuwaab Me Dekha Ke SAR-E-AQDAAS aur DAADHI MUBARAKA Gird Aalood(Jaami Huwi Dhool) Hai HAZRAT UMME SALEEM RadiALLAHU Ta'ala Anha Arz Guzaar Huwi "Ya RASOOLALLAH" Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam ! Aap Ko Kyaa Huwa ?
To AAP Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Mai Abhi Abhi Husain Ki Shahadat Gaah Se Aa Raha Hu'n.""

📕 (Tirmizi)

""IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ka SAR-E-AQDAAS Jism Se Juda Kar Ke Ibne Ziyaad Ke Saamne Pesh Kiyaa Gayaa. Ibne Ziyaad Ek Chaadi(Stick) Aapke Mubarak Honto'n Par Marne Laga. SHAHAABI E RASOOL ZAID BIN ARQAM RadiALLAHU Ta'ala Anhu Waha Maujood The'n. Un Se Bardaast Na Ho Saaka Aur Wo Pukaar Uthey:''In Lobo'n Se Chaadi(Stick) Hata Lo. KHUDA KI QASAAM! Mai Ne Baar'haa(Baar Baar, Kayi Baar; Aksar) Aapni Aankho Se Dekhaa Hai Ke "RASOOLALLAH Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam" In Mubarak Labo'n Ko Chooma Karte The.''

""Yeh Farma Kar Aap Zaar-O-Qataar Roney Lage. Ibne Ziyaad Bola, Khuda ki Qasam! Agar Tu Budha Na Hota To

💠PART - 04 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

IMAM E PAAK............Aur............
Yazeed Paleed.

""Baaz Log Kahte Hai'n Ke Yazeed Ka Is Waaqiaa se Baraah-E-Raast (Seedhe Seedhe) Koi Taalluq Nahi Tha, Jo Kuch Kiya Woh Ibn-e-Ziyaad Ne Kiya.""

""Chand Taarikhi Shaawahid(Gawah, Saboot) Pesh E Khidmat Hai'n Jin Se Ahle Haq O Insaaf Khud Fesla Kar Sakte Hai'n Ke In Tamaam Waaqiaat(Haadsa'at, Waqiaa ki Jaama) Se Yazeed Ka Kis Qadar Taaluq Hai.""

""Azeem Muaarreekh(Tareekh Likhne Wala, Tareekh Nigaar) ALLAMA TABRI Rahmatullah Ta'alaAlaihi Raqam-Taraaz(Likhne Wala, Likhte) Hai'n Ke Yazeed Ne Ibne Ziyaad Ko Kufaa Ka Haaqim(Hukumat/Hukm Karne Wala, Baadshaa) Muqarar Kiyaa Aur Usey Hukm Diya Ke MUSLIM BINAQEEL Ko Jahaa'n Pao Qatal Kar Do Ya Shaher(City) Se Nikaal Do."

📕 (Taarikh E Tabri, Jild-4:176)

""Phir Jab MUSLEEM BIN AQEEL RadiALLAHU Ta'ala Anhu Aur HAANI ko Shaheed Kar Diyaa Gaya To Ibne Ziyaad Ne Un Dono Ke Sar Kaat Kar Yazeed Ke Paas Dameeshq Bhejey. Us Par Yazeed Ne Ibne Ziyaad Ko Khat(Letter) Likh Kar Uska Shukriya'h Aada Kiyaa.""

📕 (Taarikh E Kaamil, Jild-6:36)

""Ye'h Bhi Likha, Jo Mai Chahata Tha Tuney Wahi Kiyaa Tuney Aaqeelana Kaam(Samajhdaari Wala Kaam) Aur

💠PART - 05 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

"" Ab Ye'h Bhi Jaan Lijiye Ke 'IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu' Ke Shahadat Ke Baad Yazeed Ka Radd-e-Amal(Jawabi Aamal) Kyaa Tha? 'ALLAMA IBNE JAREER TABRI Rahmatullah Ta'ala Alaihi' Likhtey Hai'n Ke Ibne Ziyaad Ne 'IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu' Ka 'Sar-E-Aqdas' Aapke Qaatil Ke Haath Yazeed Ke Paas Bhej Diya. Us Ne Wo 'Sar-E-Aqdas' Yazeed Ke Saamne Rakh Diya. Us Waqt Waha 'SHAHABI E RASOOL ABU BARZAH AL ASLAMI RadiALLAHU Ta'ala Anhu' Bethey Huwe The. Yazeed Ek Chadi(stick) 'IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu" Ke Mubarak Labo'n Par Marney Laga Aur Usne Ye'h Sher Padha..""
""Unhone Aise Logo'n Ki Khopdio'n Ko Phaad Diya Jo Hume Azeez The Lekin Wo Bohat Na-Farmaan Aur Zaalim The.""

" 'HAZRAT ABU BARZAH AL ASLAMI RadiALLAHU Ta'ala Anhu' Se Bardaasht Na Ho Saka Aur Unhone Farmaya, Aye Yazeed Aapni Chaadi Hata Lo.
'KHUDA Ki QASAM !' Mai Ne Baar'haa(Baar Baar, Kayi Baar, Aksar) Dekhaa Hai Ke 'RASOOL E KAREEM Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam' Is Mubarak Munh Ko Chumtey The.."

📕(Taarikh E Tabri, Jild- 4:181)

"" 'Mashoor Muaarrikheen(Tareekh Likhne Waley)' 'IBN-E-KASEER' Ne Al-Bidaya Wal-Nihaya Me'n Aur 'IBN-E-ASEER' Ne 'Tareekh-E-Kaamil' Me'n Is Waqiaa Ko Tahreer Kiya Hai'n. Is Me'n Ye'h Zayeed(ziyaadah) Hai Ke 'HAZRAT ABU BARZAH RadiALLAHU Ta'ala Anhu' Ne Ye'h Bhi Farmaya: Bilashuba Ye'h QayamatKe Din Ayenge To 'HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam' Un Ke 'Shafee(Shafaa't Karne Wala)' Honge Aur Aae Yazeed! Jab Tu Aayega To Tera Seefarshi Ibn e Ziyaad Hoga. Phir Wo Khaade Huwe Aur Mehfil Se Chaley Gaye..""

""Ab Aap Khud Hi Fesla Kijiye Ke 'IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu' Ki Shahadat Par Yazeed Ko kis Qadar Dukh Aur Afsos Huwa Tha. Jo 'Sang-Dili(Be-Rahmi)' Se 'NAWASA E RASOOL Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam" Ke 'Sar-E-Aqdas' Ko Aapne Saamne Rakh Kar 'Mutakabarraana(Ghamandio Ki Tarha)' Sher Padhta Aur

💠PART - 06 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

""Yazeed Ka AHLE BAIT E NUBUWWAT se Us Ki Adaawat(Dushmani) Ka Andaaza Is Baat Se Bhi Lagaya Jaa Sakta Hai Ke Jab AHLE BAIT E NUBUWWAT ka Ye'h Musibat Zada'h Qaafila Ibn e Ziyaad Ne Yazeed Ke Paas Bheja To Us Ne Mulk E Shaam Ke Umra'a(Amiro'n)Aur Darbaariyo'n Ko Jama Kiya Phir Bhare Darbar Me'n KHANWADAH E NUBUWWAT ki KHUWATEEN Us Ke Saamne Pesh Kee Gayee'n Aur Us Ke Sab Daarbariyo'n Ne Yazeed Ko Us Fateh Par Mubarak-Baad Dee.""

📕 (Tabri, Jild- 4: 181, Al-Bidaya Wal-Nihaya Jild- 8: 197)

""Yazeed Ki Khabas e Batin Aur Adaawat e AHLE BAIT Ki Ek Aur Sharam-Naak Misaal Mulahiza Kijiye:""

Yazeed Ki Aam Darbaar Me EK Shaami Khada Huwa Aur Ahle Bait Me'n Se SAYYADA'H FATIMA'H BINT E HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anha Ki Taraf Ishaara Kar Ke Ye'h Kahne Laga Ye'h Mujhe Bakhsh Do(Muft Me'n De Do). MASOOM SAYYADA'H Ye'h Sun Kar Laraz Gayee Aur Us Ne SAYYADA'H ZAINAB RadiALLAHU Ta'ala Anha Ka Daaman Mazbooti Se Pakad Liya.

""HAZRAT SAYYADA'H ZAINAB RadiALLAHU Ta'ala Anha Ne Garaj Kar Kaha:
Tu Jhoot Bakta Hai. Ye'h Na Tujhe Mil Sakti Hai Aur Na Is Yazeed Ko.""

""Yazeed Ye Sun Kar Taish(Gussa, Josh) Me Aa Gaya Aur Bola:
Tum Jhoot Bolti Ho. Khuda Ki Qasam!! Ye'h Mere Qabzey Me'n Hai Aur Agar Mai Isey Dena Chahu'n To De Sakta Hu'n..""

""SAYYADA'H ZAINAB RadiALLAHU Ta'ala Anha Ne Garaz Daar Awaaz Me'n Kaha:
Hargiz Nahi'n. Khuda Ki Qasam!! Tumhe Aisa Karne Ka Khuda Ne Koi Haq Nahi Diya. Siwaye IsKe Ke Tum Ailaaniya Hamari Ummat Se Nikal Jao Aur Hamare Deen Ko Chhord Kar Koi Aur Deen Iktiyaar(Pasand, Qabool) Kar Lo.""

""Yazeed Ne Taish(Gussa Me'n Aa Kar Kaha:
Tu Hamara Muqabla Karti Hai, Tera Baap Aur Tere Bhai Deen Se Khareej Ho Gaye Hai'n.""

""SAYYADA'H ZAINAB RadiALLAHU Ta'ala Anha Ne Kaha:
ALLAH ke DEEN Aur Mere Baap, Mere Bhai Aur Mere Nana Ke DEEN se Tuney, Tere Baap Ne Aur Dada Ne

💠PART - 07 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

"Baaz Log Yazeed Ke Afsos O Nadamat ka Zikr Kar Ke Usey Be-Qasoor Sabit Karne Ki Koshish Karte Hai."
Uski Nadamat Ki Haqeeqat 'Allama Ibne Aseer Rahmatullahi Taala Alaih Ke Qalam Se Padhye, Wo Likhte Hai'n:
Jab Imam E Aali Maqam Ka Sar E Aqdas Yazeed Ke Paas Pahoncha To Yazeed Ke Dil Me Ibne Ziyaad Ki Qadar O Manzilat Bad Gayi aur Jo Usne Kiya Tha Us Par Yazeed Bada Khush Huwa. Lekin Jab Usey Ye Khabar Milne Lagi Ke Is Wajah Se Log Us Se Nafrat Karne Lagey Hain, Us Par Lanaat Bhejte Hain Aur Usey Galiya'n Dete Hain To Phir Wo 'Imam Husain RadiAllahu Ta'ala Anhu Ke Qatil Par Nadim Huwa.

📕 (Tarikh E Kaamil, Jild-4: 84)

""Phir Yazeed Ne Kaha:
Ibne Ziyad Tu Ne HUSAIN RadiAllahu Taala Anhu Ko Qatal Kar Ke Mujhe Musalmano Ki Nigaho Me'n Mabgooz Bana Diya Hai, Un Ke Dilo Me Meri Adawat Bhar.Di Hai Aur Har Nek O Bad Shakhs Mujh Se Nafrat Karne Laga Hai Kyu Ki Wo Samajhte Hai Ke IMAM HUSAIN RadiAllahu Ta'ala Anhu Ko Qatl Kar Ke Mai Ne Bada Zulm Kiya Hai. Khuda Ibne Ziyaad Par Lanaat Kare aur Us Par Gazab Naazil Kare, Us Ne Mujhe Barbaad.Kar Diya.

📕 (Aizaan)

""Yazeed Ki Nadamaat O Pashemani Ki Wajah Aapne Padh Li. Is Nadamat Ka Adal O Insaaf se Zara sa Bhi Ta'aluq Nahi Warna Ek Aam Musalman Bhi Qatl Kar.Diya Jaye To Qatil Se Qisas Lena Haqqam Par Farz Hota Hai. Yaha

💠PART - 08 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

YAZEED FASIQ-O-FAAJIR THA
""Baaz Juhalaa(Jahil ki Jamaa, Jahil Log) Kahte Hai'n Ke IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Par Laazim Tha Ke Wo Yazeed Ki Itaat(Bandagi, Farma-Bardaari)Karte..""

""Is Khayal E Bad(Buri Samaj) Ke Rad Me'n SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DAHLVI Farmatey Hai'n:

Yazeed IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ke Hote Huwe Ameer Kaise Ho Sakta Tha Aur Musalmano'n Par Uski Itaat Kaise Laazim Ho Sakti Thi Jab Ke Us Waqt Ke Sahaba'h E Kiraam Alaihim Ar-Ridwan Aur Sahaba'h E Kiraam Ki Jo Aulad Maujud Thi, Sab Uski Itaat Se Bezaari Ka Izhaar-O Ailaan Kar Chuke The.""

""MADEENA MUNAWWARA'H se Chand Log Us Ke Paas Shaam Me Zabardasti Pahonchaye Gaye The. Wo Yazeed Ke Na-Pasandeeda'h Aamal Dekh Kar Wapas MADEENA MUNAWWARA'H Chalay Gaye Aur Aarzi E Bait Ko Faskh(Todna, Mansookh Karna) Kar Diya. Un Logo Ne Barmala(Khulam Khula) Kaha Yazeed Khuda Ka Dushmaan Hai, Sharab Nosh Hai, Tarq-ul-Salath(Namaz Tarq Karne Wala) Hai, Zaani Hai, Faasiq Hai, Aur Mahram Se Bhi Sahoba Karne Se Baaz Nahi Aata.""

📕 (Takmil Ul Imaan : 178)

""Yazeed Ke Fisq O Fujoor Ke Mutalik Akabir Sahaba O Tabaeen Ke Aqwaal TAREEKH E TABRI, TAREEKH E KAAMIL aur TAREEK UL KHULFA Me'n Mulahiza Kiye Jaa Sakte Hai'n. Ikhtisaar(Khulaasa) Ke Peshe Nazar HAZRAT ABDULLAH BIN HANZALA GASEEL UL MALAIKA RadiALLAHU Ta'ala Anhuma Ka Irshaad Pesh E Khidmaat Hai. Aap Farmate Hai:KHUDA KI QASAM!! Ham Yazeed Ke Khilaaf Us Waqt Uth Khade Huwe Jab Hume Ye'h Khauf Lahaq Ho Gaya Ke (Us Ki Baad Kaariyo Ki Wajah Se) Ham Par Kahi Asmaan Se

💠PART - 09 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ne Yazeedi Lashkar Ke Saamne Jo Khutba Diya Us Me'n Bhi Yazeed Ke Khilaf Nikalne Ki Yahi Wajah Irshaad Farmayee:
"'KHABARDAAR!! Beshak Un Logo'n Ne Shaitaan Ki Itaat Ikhtiyaar Kar Li Hai. Aur Rahmaan Ki Itaat Ko Chord Diya Hai Aur Fitna O Fasaad Barpa Kar Diya Hai Aur Hadud E Shara'ee Muaattal(Be-kaar) Kar Diya Hai. Ye'h Mahasal(MahsoolKi Jamaa, Lagaan) Ko Aapne Liye Kharch Karte Hai'n, ALLAH Ta'ala Ki Haraam Karda'h Baato'n Ko Halal Aur HalalKarda'h Ko Haraam Karar Deta Hai'n.''"

📕 (Taarikh Ibn E Aseer, Jild 4 ; 20)

SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DAHLVI Rahmatullah Ta'ala Alaihi Farmate Hai:.

'''Hamare Nazdeek Yazeed Mabguz(Qabil E Nafrat) Tareen Insaan Tha Us Bad-Bakht Ne Jo Kaar-Haye(AfsosNaak Kaam) Anjaam Diye Wo Is Ummat Me'n Se Kisi Ne Nahi Kiye.'"

""SHAHADAT E IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Aur Ihaanat(Be-Izaati, Zillat, Toheen) E AHLE BAIT Se Faarig(Aazad) Ho Kar Us Bad-Bakht Ne MADEENA MUNAWWARA'H Par Lashkaar Kashi(Hamla, Chadha'ee) Ki Aur Muqaddas Shaher Ki Be-Hurmati(Be-Izzati) Ke Baad AHLE MADEENA'H Ke Khoon Se Haath Range Aur Baki Bache Huwe Shahabio'n Ko Qatl Karne Ka Hukm Diya..""

""MADEENA'H MUNAWWARA'H Ki Takhreeb(Ujaadne, Kharab Karne) Ke Baad Us

💠PART - 10 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

"" "AALA HAZRAT MUJADDID E DEEN O MILLAT IMAM AHMED RAZA MUHADDISE BARELVI RadiALLAHU Ta'ala Anhu" Raqam-Taraaz(Likhne Wala, Likhte) Hai'n, Yazeed Paleed Qataa'n Yakeena'n Ba-Ijmaa E Ahle Sunnat Fasiq-O-Fajir(Gunah Gaar) Aur Jari Alal Kabaeer(Badey Badey Gunaho'n ko Be-Khauf Karne Wala) Tha..""
"" Phir Us ke Kartoot Aur Mazaalim(Zulm, Sitam) Likh Kar Farmate Hai'n:-Maloon(Laanat Kiya Gaya' Mardood) Hai Jo Un Maloon Harkat Ko Fisq-O-Fujoor(Gunah) Na Jaane, Quran Kareem Me'n Saraahatan(Khullam Khula) UsPar "لعنھم الله"' Farmaya.""

📕 (Irfaan E Shariaat)

Yazeed Paleed Fasiq Fajir Murtakab E Kabaeer(Badey Gunah Karne Wale) Tha. MaazALLAH Yazeed Se Aur 'RIHAANA E RASOOL Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam SAYADNA IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu' Se Kya Nisbat(Taaluq, Ek Jaisa Hona).

Aaj Kal Jo Baaz Gumraah Kahte Hain Ke Hume'n Unke Muamley Me'n Kya Dakhal Hai Woh Bhi Hamarey

💠PART - 11 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

KYA YAZEED MUSTAHIK E LAANAT HAI?

MUHADDIS IBNE JAWZI Ne Riwayaat Kiya Hai IMAM AHMED BIN HAMBAL RadiALLAHU Ta'ala Anhu Se Un Ke Betey SALHEY Ramatullah Ta'ala Alaihi Ne Arz Ki, Ek Qaum Hamari Taraf Ye'h Mansoob Karti Hai Ke Hum Yazeed Ke Dost Aur Himayati Hai'n. Farmaya, Aae Bete! Jo Shakhs ALLAH Ta'ala par Imaan Laata Hai wo Yazeed Ki Dosti Ka Dawa Kaise Kar Sakta Hai. Balke Mai Us Par Kyu Na Laanat Bheju'n Jis Par ALLAH Ta'ala Ne Quraan Me Laanat Bheji Hai..

Kanzul Imaan: To Kya Tumharey Ye'h Lachchan(Kartoot) Nazar Aata Hai'n Ke Agar Tumhe'n Hukumat Miley To Zamin Me'n Fasaad Phailao Aur Aapne Rishtey Kaat Do. Ye'h Hai Woh Jin Par ALLAH Ne Laanat Kee Aur Unhe Haq(Sunney) Se Bahera Kar Diya Aur Unki Aankhe'n Phod Dee(Yaani Unhe'n Haq Dekhney Se Andha Kar Diya)..

📕 (Surah Muhammad : 22, 23)

Phir Farmaya:
Batao Kya HAZRAT IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ke Qatl Se Bhi Bada Koi

💠PART - 12 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

""Allama Saad Uddin Taftazani Farmate Hai'n:

Haq Ye'h Hai Ke Yazeed Ka IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ke Qatal Par Raazi Aur Khush Hona, Aur Ahle Bait E Nabwat ki Ihaanat(Toheen)Karna Un Umoor(Kaamo'n)Me'n Se Hai Jo Tawatir E Maanavi Ke Saath Sabit Hai Agarcha Unki Tafaasil Ahad Hai'n. To Ab Hum Tawaqqaf(Dair) Nahi'n Karte Uski Shaan Me'n Balke Imaan Me'n ALLAH Ta'ala Us(Yazeed) Par, Us Ke Dosto'n Par Uske Madad-Garo Par Laanat Bhejey..

📕 (Sharah Aqaeed Nasafi, 102)

Imam Jalal Uddin Suyuti SHAHADAT E IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ka Zikr Kar Ke Farmate Hai'n, Ibne Ziyaad, Yazeed Aur IMAM HUSAIN RadiALLAH Ta'ala Anhu Ke Qatil , Teeno'n Par ALLAH ki Laanat Ho.

📕 (Taarikh ul Khulfa: 304).

Mashoor Mufassir Allama Mahmood Alusi Raqam Taraaz(Likhte) Hai'n, Mere Nazdeek Yazeed Jaise Shakhs Par Laanat Kar Qataa'n Jaiz Hai Aur Us Jaise Fasiq Ka Tasawwur Bhi Nahi Kiya Jaa Sakta.

Zahir Yahi Hai Ke Us Ne Tauba Nahi Ki Aur Us Ki Tauba Ka Ahtimaal(Shakh,Gumaan) Us Ke Imaan Se Bhi Ziada Kamzor Hai. Yazeed Ke Saath Ibn e Ziyad, Ibn e saad Aur Uski Jamat Ko Bhi Shamil Kiya Jayegaa. Pas ALLAH Ta'ala KiLaanat Ho Un Sab Par, Un Ke Saathiyo Aur Madad Gaaro'n Par Aur Un Ke Giro'h Par Aur Jo Un Ki Taraf Maeel(Aashiq, Jhuka Huwa) Ho Qayamat Tak Aur Us Waqt Tak Ke Koi Bhi Aankh Abu Abdullah HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Par Ansu Bahaye..

📕 (Rooh Ul Maani)

Pas Sabit Ho Gaya Ke Yazeed Paleed Laanat Ka MustahiqHai. Albata Hamare Nazdeek Us Maloon Par Laanat

💠PART - 13 | 🗡SHAHADAT E IMAAM HUSAIN RADIALLAHU ANHU🗡

MADEENAH MUNAWWARA'H AUR MAKKA MUKARMA'H PAR HAMLA.

Jab 63 Hijri Me'n Yazeed Ko Ye'h Khabar Mili Ke AHLE MADEENA'H ne Uski }Bait Tod Di Hai To Us Ne Ek Aazeem(Bada) Lashkar MADEENA'H MUNAWWARA'H Hamla Ke Liye Rawana Kiya. Ibn E Kaseer Is Lashkar Ke Salaar(Sardaar)Aur Us Ke Siya'h Karnamo'n Ke Mutalik Likhte Hai'n:

Muslim Bin Uqbah Jisey Aslaf Masroof Bin Uqbah Kahtey Hai'n, Khuda Us Ko Zaleel O Ruswa Kare, Wo Bada Jahil Aur Ujad(Gawar, Be-Waqoof) Budha Tha. Us Ne Yazeed Ke Hukm Ke Mutabik MADEENA'H TAIBA'H ko Teen Din ke Liye Mubah Kar Diya. ALLAH Ta'ala Kabhi Yazeed Ko Jaza E KhaiR Na De'n, Us Lashkar Ne Bohat Se Buzurgo'n Aur Qario'n Ko Qatal Kiya Aur Amwaal(Maal-O-Daulat) Liye.

📕 (Al Badiyah, Jild- 8:220)

MADEENA'H TAIYABA'H ko Mubah Karne Ka Matlab Ye'h Hai Ke Waha Jis Ko Chaho Qatal Karo, Jo Maal Chahey Loot Lo Aur Jiski Chaho Aabroo Rezi Karo( ) Yazeedi Lashkar Ke Kartoot Padh Kar Har Momin Khauf E Khuda Se Kaanp Jata Hai Ke ALLAH Ta'ala Aur Uske Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Haram Ki Huwi Cheezo'n Ko Us Shakhs Ne Halal Kar Diya Jise Aaj Log Aameer Ul Momineen Banane Par Tuley Huwe Hai'n..

Ibne Kaseer Likhte Hai:Yazeedi Lashkar Ne Aurto'n Ki Asmate'n(Parhezgaari) Pamaal(Barbaad)Kee Aur Kahte Hai Ke Un Aiyaam(Din, Zamana) Me'n Ek Hazaar(1000) Kunwari Aurte'n Hamla Huwee..

📕 (Al Badia, Jild- 8:221)

Taarikh Me Is Waqia Ko ''WAQIA E HURRA'' Kaha Jata Hai.

AALA HAZRAT MUHADDISE BARELVI Rahmatullah Ta'ala Alaihi Farmate Hai:Shakh Nahi Ke Yazeed Ne Waali-E-Mulk(Hukmraan, Baadshaa) Ho Kar Zameen Me'n Fasaad Phailaya, Haramain-E-Tayabain O Kaaba-E-MuazzamO Roza-E-TaiyabahKi Shakht Be-Hurmatiya(Be-Izzatiya) Kee, Masjid E Kareem Me'n Ghode Baandhe, Un Ki Leed(Gobar) Aur Peeshaab Mimber E Athar Padhe, Teen Din Masjid ENabwi Be-Aazan Aur