Showing posts with label Namaz Ke Masail. Show all posts
Showing posts with label Namaz Ke Masail. Show all posts

Pahli Rakat Kaa Ruku Mil Gayaa To........

Mas'alaa:- Pahli Rakat Kaa Ruku Mil Gayaa To Takbire-ulaa Yaa'ni Takbire-tahrimaa Ki Phajilat Mil Gayi.

#(Aalamgiri; Bahaare Shariat)
___________________________________
🖌️Post Credit ~ Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Namaz Ke Masail Post Padhne Ke Liye Click Kariye⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/namaz-roman.htm



Gunge Shakhs Ke Liye Taqbire-tahrimaa Kaa Hukm

Mas'alaa:- Jo Shakhs Takbir Ke Talaphphuz Par Kaadir Na Ho, Maslan Gungaa (Mungaa-dumb) Ho Yaa Kisi Wajah Se Jubaan Bandh Ho Gayi Ho, Us Par Talaphphuz Yaa'ni Munh Se Bolnaa waajib Nahin. Dil Me iraadaa Kaafi Hai, Yaa'ni Dil Men Kah Le.

#(Durre Mukhtaar)
___________________________________
🖌️Post Credit ~ Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Namaz Ke Masail Post Padhne Ke Liye Click Kariye⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/namaz-roman.htm



Nafl Namaz Me Taqbire-tahrimaa Kaa Hukm

Mas'alaa:- Nafl Namaz Ke Liye Taqbire-tahrimaa Ruku Me Kahi To Namaz Na Huyi Aur Agar Baith Kar Kahi To Ho Gayi.

#(Raddul Mohtaar)
___________________________________
🖌️Post Credit ~ Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Namaz Ke Masail Post Padhne Ke Liye Click Kariye⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/namaz-roman.htm



Jhukne Ki Haalat Me Taqbire-Tahrimaa Par Namaz Kaa Hukm

Masalaa:- Baa'z (Kuchh) Log Imaam Ko Ruku Me Paa Lene Ki Garaj Se Jaldi-jaldi Ruku Me Jaate Hua Taqbire-tahrimaa Kahte Hain Aur Jakne Ki Haalat Me Tqbire-tahrimaa Kahte Hain, Unki Namaz Nahin Hoti.

Unko Apni Namaz Phir Se Dobaaraa Padhni Chaahiye.

#(Fataawaa Rizviyaa, Jild-3, Safaa-393)
___________________________________
🖌️Post Credit ~ Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Namaz Ke Masail Post Padhne Ke Liye Click Kariye⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/namaz-roman.htm



Imaam Ruku Me Ho To Muqatdi Taqbire-tahrimaa Kaise Kahe

Masalaa:- Imaam Ko Ruku Me Paayaa Aur Muqatdi Taqbire Tahrimaa Kahtaa Huaa Ruku Me Gayaa Aur Taqbire-tahrimaa Us Wakt Khatm Kee Ki Agar Haath Badhaaa (Lambaa Kare) To Ghutne Tak Pahunch Jaaye, To Uski Namaz Na Huyi.

#(Raddul Mohtaar)
___________________________________
🖌️Post Credit ~ Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Namaz Ke Masail Post Padhne Ke Liye Click Kariye⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/namaz-roman.htm



Kis Namaz Me Baith Ke, Kis Namaz Me Khade Hokar Taqbire-Tahrima Kahnaa Chaahiye

Masalaa:- Jin Namazon Me Qayaam (Khadaa Honaa) Pharz Hai, Unme Taqbire-tahrima Ke Liye Bhi Qayaam Pharz Hai.

Agar Kisi Ne Baithakar 'Allahu Akabar' Kahaa, Phir Khadaa Ho Gayaa, To Uski Namaz Shuru Hee Na Huyi.

#(Durre Mukhtaar; Aalamgiri)
___________________________________
🖌️Post Credit ~ Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Namaz Ke Masail Post Padhne Ke Liye Click Kariye⬇
https://MjrMsg.blogspot.com/p/namaz-roman.htm