Showing posts with label Qurbani Ka Bayan. Show all posts
Showing posts with label Qurbani Ka Bayan. Show all posts

▫Part 12 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

✴️ZABAH KA BAYAAN✴️

Allah azza o jalla farmata hai-

حُرِّمَتْ عَلَیْكُمُ الْمَیْتَۃُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِیرِ وَمَا أُہِلَّ لِغَیْرِ اللَّہِ بِہِ وَالْمُنْخَنِقَۃُ وَالْمَوْقُوذَۃُ وَالْمُتَرَدِّیَۃُ وَالنَّطِیحَۃُ وَمَا أَكَلَ السَّبُعُ إِلَّا مَا ذَكَّیْتُمْ وَمَا ذُبِحَ عَلَى النُّصُبِ وَأَن تَسْتَقْسِمُوا بِالْأَزْلَامِ ۚ ذَٰلِكُمْ فِسْقٌ ۗ

Tum par haraam hai murdaar aur khoon aur suwwar ka gosht aur jis ke zabah men gair e khuda ka name pukara gaya aur jo gala ghontne se mar jaaye aur dab kar mara hua yani bedhaar ki chiz se maara hua aur jo gir kar mara ho aur jisko kisi Jaanwar ne singj maara ho aur jis ko darindah ne kuchh khaa liya ho magar oh jinhen tum zabah kar lo aur jo kisi thaan par zabah kiya gaya ho aur teero se taqdeer ko maloom karna ye gunaah ka kaam hai.

📜 Surah 5   سُورَۃُ الْمَآىِٕدَة | Ayah 3


وَلَا تَأْكُلُوا مِمَّا لَمْ یُذْكَرِ اسْمُ اللَّہِ عَلَیْہِ وَإِنَّہُ لَفِسْقٌ ۗ

Aur use na khaao jis pe allah ka name nahin liya gaya aur oh beshak hukm udooli hai.

📜Surah 6   سُورَۃُ الْاَنْعَام | Ayah 121


✳️ AHAADEES ✳️

HADEES:- Hazrat e abdullah bin abbas o abu hurairah رضى الله تعالى عنهم  se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne شريطة الشيطن se mumana'at farmaayi ye oh zabeeha hai jiski khaal kaati jaaye aur ragen na kaati jaayen aur chhod diya jaaye yahan tak keh mar jaaye.

#(Abu daaud)


HADEES:- Ummul mumineen hazrat e aaishah siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh logo ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم yahan kuchh log abhi naye musalman huye hain oh hamare paas gosht laaye hain hamen maloom nahin keh allah ka name unhon ne zikr kiya hai ya nahin ,

▫Part 11 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

❇️ DOSRE KI TARAF SE QURBAANI KA BAYAAN ❇️

MASLAH:-  Qurbaani men niyabat jo sakti hai yani khud karna zaroorai nahin balkeh dosre ko iajzat dede usne kar di ye ho sakta hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Baalig ladko ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chahta hai to unse ijazat haasil kare bagair unke kahe agr kardi to unke taraf se wajib ada na hua.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Naabaalig ki taraf se agarche wajib nahin magar kardena behtar hai.

#(Bahar e shari'at)

⚠Is soorat men naabaalig bachcho se ijazat ki zaroorat nahin.


MASLAH:-  Apni taraf se aur apne bachcho ki taraf se gaaye ki Qurbaani ki agar woh naabaalig

▫Part 10 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

⚡QURBAANI KA TAREEQA⚡

HADEES:- Hazrat e jaabir رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne zabah ke din 2 mendhe singh wale chitkabre khassi kiye huye zabah kiye jab unka munh qibla ko kiya ye padhen

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ
وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین
إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Is ko padh kar zabah farmaya ek riwayat men hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne ye farmaya keh ilahi ye meri taraf se hai aur meri ummat men uski taraf se hai jis ne Qurbaani nahin ki.

#(Abu daaud/Ibn e Maajah)


HADEES:- Hazrat anas رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareem
صلى الله تعالى عليه وسلم
Ne 2 mendhe chitkabre sing walo ki Qurbaani ki unhen apne dast e mubarak se zabah kiya aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha, kahte hain main ne huzur ko dekha keh apna paaun un ke pahluon par rakha aur
بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر
Kaha.

#(Bukhari/Muslim)


MASLAH:-  Ye shubah keh ek mendha un sab ki taraf se kiyon kar ho sakta hai ya jo log abhi paida hi na huye unki Qurbaani kiyon kar hui iska jawab ye hai keh ye huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke khasaais se hai jis tarah huzur ne 6 mahine ki bakri ke bachchah ki Qurbaani abu burdah رضى الله تعالى عنه ke liye jaayez farma di auron ke liye uski mumana'at kar di isi tarah is men khud huzur ki khususiyyat hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Qurbaani ka tareeqa ye hai keh Jaanwar un sharaait ke muwafiq hon jo mazkoor hui yani jo us ki umr baatai gayai us se kam na ho aur un uyoob se paak ho jinki wajah se Qurbaani naajaayez hoti hai aur bihtar ye keh umdah o farbah ho Qurbaani se pahle use chaarah paani de den

▫Part 09 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

QURBAANI KE JAANWAR MEN AIB KA BAYAAN

MASLAH:- Qurbaani ke Jaanwar ko aib se khaali hona chaahiye aur thoda sa aib ho to Qurbaani ho jaayegi magar makrooh hogi aur ziyadah aib ho to hogi hi nahin.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Jis ke paidaashi sing na ho to uski Qurbaani jaayez hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Agar sing tha magar toot gaya aur meng (gooda) tak toota hai to jaayez nahin is se kam toota hai to jaayez hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Jis Jaanwar men junoon (paagalpan) hai aur is hadd ka hai keh oh Jaanwar charta bhi nahin hai to uski Qurbaani naajaayaz hai aur is hadd ka nahin hai to jaayez hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Khassi yani jiske khusiye nikaal liye gaye hon ya majboob yani jis ke khusiye aur uzu e tanaasul sab kaat liye gaye hon unki Qurbaani jaayez hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Itna boodha keh bachcha ke qabil na raha ya daaga hua Jaanwar ya jiske doodh na utarta ho in sab ki Qurbaani jaayez hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Kharishi Jaanwar ki Qurbaani jaayez hai jabkeh farbah (mota) ho.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Aur itna laagar (dubla) ho keh haddi men magz na raha to Qurbaani jaayez nahin.

▫Part 08 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________
⚡QURBAANI KE JAANWAR KA BAYAAN⚡

HADEES:- Ummulmumineen hazrat e aaishah siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne hukm farmaya keh sing wala mendha laaya jaaye jo siyahi men chalta ho aur siyahi men baithta ho aur siyahi men nazar karta ho yani uske paaun siyaah hon aur pet siyaah hon aur aankhen siyaah hon oh Qurbaani ke liye haazir kiya gaya huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya aaishah chhuri laao phir farmaya use paththar par tez kar lo phir huzur ne chhuri li aur mendhe ko litaaya aur use zabah kiya phir farmaya

بِسْمِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ  تَقَبَّلْ مِنْ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ وَ مِنْ اُمَّةِ مُحَمَّدٍ

Ilahi to isko muhammad صلى الله تعالى عليه وسلم ki taraf se aur unki aal ki aur ummat ki taraf se qubool farma.

#(Muslim)


HADEES:- Hazrat e abdullah bin mas'ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya Qurbaani men gaaye 7 ki taraf se aur oont 7 ki taraf se hai.

#(Tibrani)


HADEES:- Hazrat majaashe' bin mas'ood رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh hazur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya bhed ka jaza'a (6 mahine ka bachcha) saal bhar wali bakri ke qaaim maqam hai.

#(Abu daaud o Nasai)


HADEES:- Hazrat e ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya 4

▫Part 07 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________
❇️ QURBAANI KA WAQT ❇️

HADEES:- Hazrat e barraa رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge oh ye hai keh namaz padhen phir is ke ba'd Qurbaani karenge,

Jis ne aisa kiya us ne hamari sunnat (tareeqa) ko paa liya aur jis ne pahle zabah kiya oh gosht hai jo us ne pahle se apne ghar walon ke liye tayyaar kar liya.

Qurbaani se use kuchh ta'alluq nahin abu burdah رضى الله تعالى عنه kahde huye aur ye pahle hi zabah kar chuke the (is khayal se keh pados ke log gareeb the unhon ne chaha keh unko gosht mil jaaye ) aur arz ki,

Ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم mere paas bakri ka 6 maah ka ek bachcha hai Faramya  tum use zabah kar lo aur tumhare siwa kisi ke liye 6 maaha bachcha kifayat nahin karega.

#(Bukhari)


MASLAH:- Qurbaani ka waqt daswen zihijjah ke tulu e subh e saadiq se baarahwen ke gurub e aaftaab tak hai, yani 3 din 2 raaten.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Daswen ke ba'd ki dono raaten ayyaam e nahar mem daakhil hain un men Qurbaani ho

▫Part 06 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________
🔆 QURBAANI KA HUKM 🔆

MASLAH:-  Qurbaani ka hukm ye hai keh us ke zimmah jo Qurbaani wajib hai kar lene se bariuzzimmah ho gaya.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Achhi niyyat se ki hai riya (dikhawa) wagairah ki mudakhalat nahin to allah ke fazl se ummeed hai keh aakhirat men uska sawab mile.


MASLAH:- Ek se ziyadah Qurbaani ki sab Qurbaaniyaan jaayez hain ek wajib baaqi nafl.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:-  Agar ek poori gaaye Qurbaani ki to poori se wajib hi ada hoga ye nahin keh saatwa hissa hi wajib ho baaqi nafl.

#(Bahar e shari'at)


⚡QURBAANI KI MANNAT KA BAYAN⚡

MASLAH:- Qurbaani ki mannat sahih hai agar shart paayi gayi to Qurbaani karna wajib hai

▫Part 05 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________
✳️ JO SAAHIB E ISTETA'AT NA HO USKI QURBAANI ✳️

HADEES:- Hazrat e abdullah bin umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya mujhe yaum e azha ka hukm diya gaya us din ko khuda ne is ummat ke liye eid banaya ek shakhs ne arz ki ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم ye bataaiyen agar mere paas meenha ke siwa koi Jaanwar na ho to kiya uski Qurbaani kar dun (menha us janwar ko kahte hain jo dosre ne use is liye diya hai keh kuchh dino uske doodh wagairah se faaidah uthaye aur phir maalik ko wapas kar de).

Huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya nahin Haan tum apne baal aur naakhun tarashwaao aur moye zer e naaf mundo is men tumhari Qurbaani khuda ke nazdeek poori ho jaayegi yani jisko Qurbaani ki taufeeq na ho to use in chizo ke karne se Qurbaani ka sawab haasil ho jaayega.

#(Abu daaud, nasai)


✴️BAAL O NAAKHUN KATWANE KA HUKM✴️

HADEES:- Ummul mumineen umm e salama رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ni zilhijjah ka chaand dekh liya aur uska iraadah Qurbaani ka hai to jab tak Qurbaani na kar le baal o naakhuno se na le yani na tarashwaye.

#(Muslim / tirmizi / nasai)


MASLAH:- Jis ko Qurbaani karne ka iradah ho us ke liye mustahab hai keh zilhijjah ka chaand dekhne ke ba'd naakhun baal wagairah na kaate.


MASLAH:- Agar kisi shakhs ne (31) din se kisi uzr ke sabab,  khwah bila uzr naakhun na tarashe

▫Part 04 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

⚪ NISAAB KA BAYAN ⚪

MASLAH:-  Jo shakhs 200 dirham (saadhe 52 taula yani (612)  gram chaandi ) ya 20 deenaar (saadhe 7 taulah yani saadhe 87 gram sona)  ka maalik ho ya haajat ke siwa kisi aisi chiz ka maalik ho jis ki qeemat 200 dirham (saadhe 52 taula chaandi)  ho oh gani hai us par Qurbaani wajib hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Haajat e asliyyah se muraad rhne ka makan aur khana daari ke saman jinki haajat ho aur sawari ka janwar khadim aur pahanne ke kapde in ke siwa jo chiz hon oh haajat se zaaid hain.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Us shakhs pe dain (qarz wagairah) hai aur uske amwal se dain ki miqdaar mujra ki jaaye to nisaab nahin baaqi rahti us par Qurbaani wajib nahin.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Maal yahan maujood nahin aur ayyam e Qurbaani guzarne ke ba'd oh maal use mausool hoga to Qurbaani wajib nahin.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Maalik e nisaab ne Qurbaani ke liye bakri khareedi thi oh gum ho gayi aur us shakhs ka maal nisaab se kam ho gaya ab Qurbaani ka din aaya to us par ya zaroori nahin keh dosra jaanwar

▫Part 03 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

QURBAANI KE WAJIB HONE KE SHARAAIT

1). ISLAM:- Yani gair muslim pe Qurbaani wajjb nahin.

2). IQAAMAT:- Yani muqeem hona musaafir par wajib nahin.

3). TAWANGARI:- Yani maalik nisaab hona yahan maaldaari se murad wahi hai jis se sadqa e fitr wajib hota hai oh murad nahin jis se zakat wajib  hoti hai. Nisab ki tafseel nisab ke bayan men mulahaza farmaye

4). HURRIYYAT:- Yani aazad hona jo aazad na ho us pe Qurbaani wajib nahin keh gulam ke paas  maal hi nahin lihaza ibadat e maaliya us pe wajib nahin.

_*#(Bahar e shari'at)*_


⚠ FAAIDAH:-

Mard hona is ke liye shart nahin auraton par wajib hoti hai jis tarah mardon par wajib hoti hai is ke liye buloog shart hai ya nahin is men ikhtelaf hai aur naabalig par wajib hai to aaya khud uske maal se Qurbaani ki jaayegi ya uska baap apne maal se Qurbaani karega.

Zaahirurriwayah ye hai keh na khud naabaalig par wajib hai na uski taraf se uske baap par wajib hai aur isi par fatwa hai.

#(Bahar e shari'at)


MASLAH:- Musafir par agarcheh wajib nahin magar nafl ke taur par kare to kar sakta hai sawab

▫Part 02 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

✴️ MASAAIL E FIQHIYYAH ✴️

QURBAANI KI TA'REEF:- Makhsoos janwar ko makhsoos din men baniyyat e taqarrub zabah karna qurbani hai.

#(Bahar e shari'at)


✳QURBAANI KI QISMEN✳

Qurbaani ki kayi qismen hain-

1). Gani aur faqeer dono par wajib hai  is ki soorat ye hai keh qurbani ki mannat maani ye kaha keh allah ke liye mujh par bakri ya gaaye ki qurbaani karna hai ya is bakri ya gaaye ki qurbani karna hai.

#(Bahar e shari'at)


2). Faqeer par wajib ho gani par wajib na ho is ki soorat ye hai keh faqeer ne qurbaani ke liye janwar khareeda us par us jaanwar ki qurbaani wajib hai aur agar gani khareedta to is khareedne se qurbaani us par wajib na hoti

#(Bahar e shari'at)


3). Gani par wajib ho faqeer par wajib na ho is ki soorat ye hai keh qurbaani ka wujoob na khareedne

▫Part 01 | 🕋 QURBANI KA BAYAN 🕋

_____________________________________

نحمده و نصلي و نسلم على رسوله الكريم

Qurbaani hazrat saiyyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi صلى الله تعالى عليه وسلم ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya -

فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ

Tum apne rabb ke liye namaz padho aur qurbaani karo.

📜Surah E Kausar, Aayat 2


✴️ AHAADEES E KAREEMA ✴️

1). Ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin Aur woh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo.

#(Abu daaud/Tirmizi/Ibn e Maajah)


2). Hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi.

#(Tibraani)


3). Hazrat abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riyawat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya jo rupiya eid ke din qurbaani men kharch kiya gaya us se ziyadah koi rupiya piyara