Showing posts with label Ilme Gaib e Mustafa ﷺ. Show all posts

▫Part-22 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 25
Hazrate Abdullah Ibne Umar Se riwayat hai ki ek din Rasoolullah ﷺ hamare paas tashreef laye. Aap ﷺ ke daste mubarak mein do kitabe thi Aap ﷺ ne irshad farmaya kya tum in dono kitabon ko jaante ho Humne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap ke bataye baghair nahi jaante Aap ﷺ ne dahine hath wali kitab ki taraf ishara kar ke Farmaya Allah Ta'ala ki taraf se ek kitaab hai jisme tamam jannat walo ke naam hai inke baap dada aur khandano ke bhi Naam bhi hain aur Aakhir mein in sab ki meezan hai inme se kabhi bhi kami ya zyadati nahi hogi fir Aap ﷺ Apne baaye hath wali kitab ke baare me farmaya ki isme Jahannamiyon ke baap Dada aur khaandano ke naam hai fir aakhir in sab ka jama (Total) kar diya gaya hai Ab inme kabhi kami ya zyadati nahi hogi.
📕 »» Tirmizi Jild 2, Safa 36
📕 »» Mishkat, Safa 21
➡ Gour karne ka maqaam hai jis zaate girami ko Allah Ta'ala ne aesi kitaben ataa farma di ho ki jisme saare jannat aur jahannami logo ke Naam inki waladiyat aur qabeele ke zikr ke sath likha ho unke Ilm ki kya shaan hogi Aur Aadam عليه السلام se lekar qayamat tak paida hone wale musalamano

▫Part-21 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 24
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Jab Khaibar Fatah hua to Huzoor ﷺ ki khidmat mein zaher mila hua bakri ka gosht pesh kiya gaya.
Aap ﷺ ne Irshaad farmaya yahan jo yahoodi hai unhe mere Paas laao to unhe jama kar diya gaya Huzoor ﷺ ne unse farmaya Agar Main kuch pucchu to mujhe sach bataoge Unhone kaha Haan Ae Abul Qasim ! Huzoor ﷺ ne puccha tum kiski aulad ho ? Unhone kaha hum falan ki Aulad hain. Aap ﷺ ne irshad farmaya tum Jhoot bolte ho tum falan ki Aulad ho to kehne lage Aap sach kehte hai aur accha kehte hain.
Fir Huzoor ﷺ ne farmaya agar main tum se kuch puchu to tum sahi bataoge ? Bole Haan agar hum galat bolenge to Aap (Apne Ilme Gaib ) se jaan lenge Jaise hamare baap daada ke baare mein jaan liya. Farmaya Dozakh mein Tum Jaoge ya Hum ? Kehne lage Hum thode din ke liye jayenge fir hamare baad Aap isme rahoge Huzoor ﷺ Farmaya tum hi isme Zaleel hone wale ho aur Hum Isme kabhi tumhari jagah nahi jayenge.
Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya Agar main tumse koi baat pucchu to to Sahi bataoge ? Bole haan. Huzoor ﷺ ne irshad farmaya kya tumne is bakri mein zaher milaya ? Kehne lage haan milaya Aap ﷺ ne farmaya aisa tumne kyu kiya ? Bole humne ye iraada kiya ki agar Aap jhoote Nabi hai to humko Aap se Najaat mil jayegi aur Agar Aap Sacche hai to Ye zehar Aap ko Nuqsan Nahi pahuchayega.
📕 »» Bukhari Jild 2,Safa 859
📕 »» Mishkat, Safa 543
➡
Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne Rasoolullah ﷺ ko gaib ka ilm
ataa farmaya hai isi liye Aap ﷺ bakri mein zaher ko jaan liya aur in
logo ne Aap ﷺ ka imtihaan lene ke liye Apne Baap ka Naam galat bataya to
wo bhi Aap ﷺ ne jaan liya Aur sahi Naam bata diya aur In Yahoodiyon ko
bhi Aap ﷺ ki Sacchayi aur Ilme Gaib par yakeen tha isi liye un logon
ne kaha ki
▫Part-20 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 23
Hazrate Abu Saeed Khudari رضي الله عنه ne Masjide Nabawi ki tameer ka zikr farmate huye farmaya ki Hum log ek-ek iint uthate the aur Ammar Ibne Yaasir do-do to Rasoolullah ﷺ ne inhe dekha to Huzoor ﷺ inke jism se mitti jhaadte jaate aur farmate ki Ammar par kada waqt aayega inhe ek baagi giroh Qatl karega aur ye unhe Jannat ki taraf bulate honge aur wo inhe dozakh ki taraf. Abu Saeed ne kaha ki Ammar kaha karte the ki Main fitno se Allah ki panah mangta hun.
📕 »» Bukhari Shareef Jild 1, Safa 24
➡ Is Hadees Se Maloom hua ki Huzoor ﷺ ye bhi jaante the ki Ammar Shaheed kiye jayenge aur

▫Part-19 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 22
Hazrate Huzaifa رضي الله عنه se riwayat farmate hai ki main nahi jaanta ke mere saathi bhool gaye hai ya bhole ban baithe Allah Ta'ala ki kasam Rasoolullah ﷺ ne duniya se khatm hone tak tamaam fitna garo ko jo 300 ya kuch zyaada hai nahi chhoda magar hum ko unke Naam bata diye. Uska Naam Uske Baap ka Naam aur uske khaandan aur qabeele ka Naam.
📕 »» Mishkat Safa 463
📕 »» Abu Dawood Safa 582
➡ Yaani Qayamat ke tamaam fitna parwaro, gumrahgaro ka zikr inke naam aur waladiyat aur

▫Part-18 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No.21
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek Baar Huzoor ﷺ ne Humko Zuhar ki Namaz padhayi aur sab se picchli saf mein ek aadmi khada tha jis ne thik se Namaaz nahi padhi to jab Huzoor ﷺ salaam fera to us shakhs ko Naam lekar Pukara aur farmaya aye fulañ kya tu Allah Se Nahi Darta ? Ye tu kaise Namaaz Padhta Hain ? Kya tum Log Ye khayal karte ho ki tumhare aamaal mein se mujhse kuch chhupa rehta hai ?
Kasam Allah Rabbul Izzat Ki main Jaise Apne Saamne dekhta hu waise hi picche bhi dekhta hu.
Is Hadees Ko Imam Ahmed Ne riwayat kiya
📕 »» Mishkat Baab Siftis'salat, Safa 77
➡ Sabse Picchli Saf mein hone ka matlab hai ki Sarkar ﷺ mein aur usme kaafi faasla tha us zamane mein har Musalman Namazi tha Masjide Nabawi shareef Namaziyon se bhar jaati thi fir Bhi Aap ﷺ ne uski Namaz ki kami ko mulahiza farma liya fir sarahat farma di ki tumhari har halat

▫Part-17 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 20
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه farmate hai ki Karkara Naam ka ek shakhs Nabi E Kareem ﷺ ke asbaab ki hifazat par mu'ayyan tha Jab uska inteqaal hua to Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya wo jahannami hain log is ki wajah talaash karne lage to uske saaman mein ek Ibaa paayi jo usne maale ganimat se chura ke rakh li thi.
📕 »» Bukhari Jild 1, Safa 432
➡ Yaani Aap ﷺ ne ye bhi jaan liya ki wo Jahannam mein hai aur Ye Bhi ki wo Jahannam mein Kyu hai aur Jo Kapda Usne Maale Ganimat se churaya tha gaib Janne wale Nabi ﷺ se wo chhupa

▫Part-16 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 19
Hazrate Ayesha رضي الله عنها se marvi hai ki Nabi E Paak ﷺ jab Aleel (bimar) huye to Hazrate Fatima رضي الله عنها haazir hui aur Aap ﷺ par jhuk gayi Aap ﷺ ka bosa liya fir sar uthaya aur Ro padi. Fir dobara jhuki aur sar uthaya to hans rahi thi . Hazrate Ayesha رضي الله عنها kahti hai ki maine dil me khayal ki main to Fatima ko Aurato mein sabse zyada Aqlmand samajhti thi magar wo to Aam aurato ki tarah hai.
Jab Huzoor ﷺ ka wisaal ho gaya to Maine inse maloom kiya ki batao to sahi ki Jab Aap Nabi E Kareem ﷺ par jhunki aur sar uthaya to ro rahi thi fir dubara jhunk kar sar uthaya to hans rahi thi iski kya wajah thi ? Hazrate Fatima رضي الله عنها ne farmaya lo main ye Raaz fash kiye deti hun. Huzoor ﷺ ne mujhko bataya ki mera isi marz se wisaal ho jayega to main ro padi fir bataya ke Ahle Bait mein Tum Sabse pehle mere paas aaogi to main Hans padi.
📕 »» Tirmizi Jild 2, Safa 227
📕 »» Mishkat Safa 568
(Yahi Hadees ●Bukhari aur Muslim ● dono mein hai )
➡ Yaani Huzoor ﷺ ne Hazrate Fatima رضي الله عنها ko Apne Wisaal se bhi muttala farma diya ki main is marz mein duniya se chala jaunga aur Hazrate Fatima رضي الله عنها ke wisaal se bhi ki Ahle Bait mein tum sabse pehle mere paas aaogi aur waqayi Hazrate Fatima رضي الله عنها Huzoor ﷺ ke

▫Part-15 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No.18
▶ Hazrate Safeena رضي الله عنه se riwayat hai ki maine Rasoolullah ﷺ ko ye farmate suna ki khilafat mere baad 30 saal rahegi fir baadshahat hogi. Raawi E Hadees Hazrate Safeena kehte hai ki Hazrate Abu Bakr رضي الله عنه ki khilafat ko 2 saal shumaar karo , 10 saal Hazrate Umar رضي الله عنه Hazrate Usman e Gani رضي الله عنه ke 12 saal aur 6 Saal Hazrate Ali رضي الله عنه ke shumaar karo.
📕 »» Mishkat, Safa 463
📕 »» Tirmizi Jild 2, Safa 45
➡ Yaani Hazrate Safeena رضي الله عنه ne hadees bayan farmane ke baad ye bhi shumaar kar ke dikha diya ki waqayi khilafat sirf 30 saal rahi aur baad mein baadshahat ho gai aur Huzoor ﷺ ne Apne

▫Part-14 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No.17
Hazrate Abu Moosa Ash-ari رضي الله عنه farmate hai ki Nabi E Kareem ﷺ ek baag mein daakhil huye aur mujhko baag ke darwaze par dekh bhaal ka huqm diya fir Ek Aadmi ne Aa kar ijazat maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki inhe Andar Aane ki ijazat de do aur Jannat ki Basharat de do Maine Dekha wo Shakhs Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه the fir Dusre Shakhs ne Ijazat Maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya inhe andar aane ki ijazat de do aur Jannat Ki Basharat de do maloom hua wo Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه the fir aur ek Shakhs se Ijazat maangi to Huzoor ﷺ thodi der khamosh rahe aur farmaya inhe bhi ijazat dedo aur Jannat ki basharat dedo lekin ek musibat ke sath jo inhe pahuchegi to maloom hua ki wo Hazrate Usmane Gani رضي الله عنه hai.
📕 »» Sahih Bukhari Jild 1, Safa 522
📕 »» Muslim Jild 2, Safa 277
➡ Is Hadees se Maloom hua ki Rasoolullah ﷺ baag ke andar jalwa farma the aur darwaze par aane wale ko pehchan lete the aur ye bhi irshad farma dete the ki wo Imaan wa hidayat par qayam rahenge yaani Jannat mein jayenge aur Hazrate Usman رضي الله عنه ke baare mein Aap ﷺ ko ye

▫Part-13 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No.16
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki ek baar Hazrate Umar رضي الله عنه ne jehaad ke liye ek lashkar bheja aur uska Ameer Saariya Naam ke ek sahab ko banaya to jis waqt Hazrat Umar رضي الله عنه Masjide Nabawi Shareef mein khutba de rahe the to Zor Se farmaya Ae Saariya Pahaad ! Fir lashkar se ek kaasid aaya aur usne arz kiya Ae Ameerul Momineen hum jung kar rahe the aur dushman ne hum ko shikast dedi thi ki humne suna koi buland aawaz se keh raha tha Ae Saariya Pahaad ! Fir humne pahad ko apne piche lekar jung kee, yahan tak ki dushman ko shikast dedi.
📕 »» Mishkat, Babul Karamat, Safa 546
➡ Yaani Hazrat Umar رضي الله عنه Madeena Tayyabah mein Masjide Nabawi Shareef ke andar khutba dete huye Hazaaro Meel par waaqe Nahawand mein maidane jung ko mulahiza farma rahe the aur Ye Hazrate Umar رضي الله عنه Huzoor ﷺ ke sahabi hai to jab Huzoor ﷺ ke gulamo ke

▫Part-12 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 15
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ek safar se wapas tashreef laye Jab Aap ﷺ Madeene Shareef ke kareeb huye to ek hawa aesi chali ki lagta tha ki wo sawaro ko dafn kar degi Rasoolullah ﷺ ne farmaya ye hawa ek munafiq ki maut par bheji gayi hai . Raawi kahte hain ki jab Madeena shareef aaya to waqayi munafiqin ka sardar mar gaya tha.
📕 »» Mishkat, Babul Mojezaat, Safa 536
➡ Yaani Rasoolullah ﷺ ne raaste mein hi apne As-haab ko bata diya Madeena mein ek munafiq mar gaya hai.
Ye safar Gazwa e Tubook se wapasi ka tha aur wo munafiq Rifa'a Ibne Duraid

▫Part-11 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 14
Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ do qabro ke paas se guzre to Aap ﷺ ne farmaya in dono par Azaab ho raha hai lekin kisi bade gunah ki wajah se nahi balqi ek to peshab se ehtiyat nahi karta tha aur dusra chugal khor tha Fir Aap ﷺ ne hari shaakh li aur iske do tukde kar ke ek-ek qabr par rakh diye logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ. Aap ne Aisa kyu kiya ? Farmaya jab tak sukhegi nahi shayad azaab mein aasani ho .
📕 »» Bukhari Shareef, Safa 35
➡ Is Hadees Se bakhoobi ye baate maloom ho gai ~
1). Rasoolullah ﷺ ki nigahe aqdas ke liye qabr ke upar ki mitti waghairah aad nahi hoti aur qabr ke andar upar se hi mulahiza farma lete hai.
2). Qabr me Dafn huye logo ki zindagi ke haalaat bhi Aap ﷺ ke peshe nazar rahte hai ki kis ne

▫Part-10 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 13
Hazrate Salma Ibne Aqwa se marvi hai ki Junge Khaibar ke mouqa par Hazrate Ali رضي الله عنه Rasoolullah ﷺ ke sath lashkar mein Aankh dukh jane ki wajah se shareeq na ho sake the to Hazrate Ali رضي الله عنه ne farmaya ki main Huzoor ﷺ ke sath lashkar mein shaamil hone se rah gaya fir Aap nikle Yahan tak ki Huzoor ﷺ ke sath fouj mein shaamil ho gaye. Raawi kahte hain ke idhar lashkar mein jis subah ko khaibar fatah hona tha isse pehle shaam ko Rasoolullah ﷺ ne apne As-haab mein farmaya ki kal main ye jhanda ek aise shakhs ko dunga Allah Wa Rasool jisko dost rakhte hai ya jo Allah wa Rasool ko dost rakhta hai .Allah Ta'ala uske hath par jung mein fatah naseeb farmayega, farmaate hai ki achanak hamari mulaqat Hazrate Ali رضي الله عنه se hui halanqi hame inki aane ki koi ummeed na thi fir Rasoolullah ﷺ ne jhanda inhe ataa farmaya aur Allah Ta'ala ne inke haatho par fatah Naseeb farmayi.
📕 »» Sahih Bukhari Jild 1, safa 525
📕 »» Sahih Muslim Jild 2, Safa 278
➡ Maloom ye chala ki ~
1). Huzoor ﷺ ba-ataa _e_ Ilahi jaante the ki sawere ko Qila _e_ Khaibar fatah ho jayega.
2). Aap ﷺ ye bhi jaante the ki Hazrate Ali رضي الله عنه jo lashkar mein shaamil hone
▫Part-09 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 12
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek din Rasoolullah ﷺ ne Fajar ki Namaz padhayi aur mimber par Rounaq Afroz huye aur bayan farmaya yahan tak ki Zuhar ka waqt ho gaya to Aap ﷺ ne mimber se utar kar Zuhar ki Namaz padhayi aur fir mimber par Rounaq Afroz ho gaye aur bayan farmaya yahan tak ki Asr ka waqt aa gaya fir Aap ﷺ ne mimber se utar kar Asr ki Namaz padhayi aur fir bayan farmaya yahan tak Suraj Guroob ho gaya to Aap ﷺ ne jo kuch hone wala hai Sab kuch bata diya to Hum mein jisne zyada Yaad rakha wo zyada bada Aalim Hai.
📕 »» Muslim Shareef, Safa 390 Kitabul fitan
➡ Is Hadees se khoob acchi tarah ye baat roushan ho gayi ki Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko Rouze

▫Part-08 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 9
Hazrate Sauban رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya ki Allah Ta'ala ne mere liye saari roo _e_ zameen ko ikattha farma diya to maine zameen ke saare purab aur saare paschim dekh liye aur mujhko do khazane ata farmaye gaye ek surkh aur dusra safed.
📕 »» Sahih Muslim Jild 2, Safa 390
✔ Hadees No. 10
Hazrate Abu Zar Gifari رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya main wo dekhta hu jo tum nahi dekhte aur main wo sunta hu jo tum nahi sunte.
📕 »» Tirmizi Jild 2, Safa 55
✔ Hadees No. 11
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها farmati hai ki Rasoolullah ﷺ wo dekhte the jo main nahi

▫Part-07 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 8
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ se Aap ki ba'az biwiyo ne ek martaba sawal kiya ki Aap ﷺ ke baad Hum mein se sab se pehle Aap ﷺ ke Paas kaun aayegi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki tum mein jis ka haath zyada lamba hoga . Paak biwiyon ne charri hath me le kar hath naapna shuru kar diye to Hazrate Sauda ka haath lamba nikla fir baad mein hum ko maloom hua ki haath ki lambai se muraad sadqa yaani sakhawat hai chunanche wo sab se pehle Huzoor ﷺ se mili aur inhe khairat karna bahut pasand tha.
📕 »» Bukhari Jild 1 Safa 191
➡ Is Hadees ko padhne se chand baate khul kar saamne aati hai ~
1). Allah Ke Rasool ﷺ ke baare mein Aap ﷺ ki paak biwiyon ka aqeeda tha ki Huzoor ﷺ Ko maloom hai ki kis ko kab maut aayegi ? Isliye to unhone Huzoor ﷺ se dariyaft farmaya ki Aap ﷺ ke baad hum mein se koun Aap se pehle milegi .
2). Huzoor ﷺ ka jawab marhamat farma dena ki tum mein lambe hath wali milegi Is baat ki nishandehi hai ki Huzoor ﷺ ne unke is aqeede ki taeed kar di .
3). Lambe hath se Huzoor ﷺ
Ki muraad sadqa wa khairat karna tha aur paak biwiyon ne naapna shuru kar diya goyaa hadees ka mafhoom samajhne mein unse bhi chuk huyi isse maloom hota hai Hadees shareef ka mafhoom

▫Part-06 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 7
Junge Badr ki Hadees me Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne maidane jung mein jung se pehle Zameen par apna hath rakh kar farmaya ki Yeh falan kaafir ke marne ki jagah hai aur ye falan kee. Raawi kahte hain ki jis ko Rasoolullah ﷺ ne jahan hath rakh kar farmaya tha wahi par wo maara gaya.
📕 »» Sahih Muslim Jild 2, Safa 102
📕 »» Nasayi Jild 1, Safa 226
▶ Is Hadees Ko padh kar ye andaza lagaana mushkil hai ki Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko kis qadar ilm ata farmaya hai ki abhi jung nahi huyi hai aur Aap ﷺ ne ek-ek kaafir ke maare jaane ki

▫Part-05 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 6
Jis waqt mulqe Shaam mein Maqaam Mutooh mein Muslamano aur isaaiyon ke darmiyan jung jaari thi Rasoolullah ﷺ Madeene Paak mein Apne Sahaba mein farma rahe the.
▶ Zaid ne Alam ko uthaya to wo Shaheed ho gaye fir Jaafar ibne Abi Talib ne Alam uthaya to wo shaheed ho gaye fir jung ka jhanda Abdullah Ibne Rawaha ne utha liya to wo bhi Shaheed ho gaye Jung ka Manzar bayan karte huye Rasoolullah ﷺ ki Aankhon mein Aansuu jaari ho gaye the Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya ki ab Baghair Sardar banaye Khalid Ibne waleed ne jhanda le liya to Ab Musalmano ko fatah naseeb ho gayi.
📕 »» Bukhari Jild 1, safa 167
▶ yeh Mutooh ka maqaam Madeene Shareef se Hazaaron meel ki doori par hai Aur Rasoole Paak ﷺ wahan hone wali Jung Ko Madeena Tayyaba mein rah kar mulahiza farma rahe hai aur Apne As-haab ko jung ke haalaat bhi bata rahe hai aur jaanisaro ki shahadat par Aansuu

▫Part-04 | 🌐 « Ilme Gaib e Mustafa ﷺ » 🌐
___________________________________
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Habsha ke baadshah Nujashi ki maut ki khabar usi din de di jis din Intiqaal hua.
📕 »» Bukhari Jild 1 Safa 167
➡ Habsha Madine Shareef se hazaaron meel par hai jise Aaj-kal Ethopiya kahte hain wahan ke baadshah Hazrat Najashi ka intiqaal hote hi Huzoor ﷺ ne Madine walon ko is ki khabar de di thi

Subscribe to:
Posts (Atom)
Find us on facebook
Popular
Labels
Archive
Labels
- Anwar _e_ Shariat
- Bid'aat Ke Khilaaf Fatwe
- Bukhari Shareef In Roman
- Eid -e- Milad -un- Nabi ﷺ
- Fazail E Sahaba رضي الله عنهم اجمعين
- Haq Ki Bandagi
- Hazrat -E- Imam Hussain رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه
- Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha
- Hazrat Khadija Radi Allahu Anha
- Hazrat Khizr Alaihissalam
- Huzoor ﷺ Wisaal ke Baad Bhi ZINDA Hain
- Ikhtiyaarat _e_ MUSTAFA ﷺ
- Ilme Gaib e Mustafa ﷺ
- IMAAN KYA HAI❓
- Imam e Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat
- Ishq E Rasool Wa Tazeem E Nabi ﷺ
- KUNDEY Ki Haqeeqat
- Mix Topic Post In Hindi
- Mix Topic Post In Roman
- Muharram Me Kya Jayiz
- Namaz Ke Masail
- Namaz Ki Ahmiyat
- Pdf ISLAMIC BOOK
- Qurbani Ka Bayan
- Ramzan Sharif Ke Masle Masail
- Saboot Fateha E Amwaat
- Sachchi Hikayaat--Hissaa Awwal
- Safina _e_ Bakhshish
- Sawal-o-Jawab Session-1
- Sawal-o-Jawab Session-2
- Shahadate -E- Imam Hussain رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه
- Sharaab Noshi
- Sher (Lion)
- Taqleed Zaruri Kyu❓
- Waseela Aur Buzurgon Ke Aqeede
- Zalzala
- Zikr -e- Alahazrat
- अनवारे शरीअत (अच्छी नमाज़)
- आओ सच्चे हुसैनी बने
- कायनात का दूल्हा
- ख़ुत्बाते मोहर्रम
- ज़लज़ला
- जा_अल_हक़ व ज़हक़ल_बातिल
- तिहत्तर में एक
- नमाज़ के मसाइल
- बारहवीं का चाँद
- बुख़ारी शरीफ - हिंदी
- मुह़र्रम में क्या जाइज़? क्या नाजाइज़?
- मोजिज़_ए_लुआबे दहन
- रमज़ान स्पेशल
- लुआबे दहने मुस्तफ़ा ﷺ
- शराब नोशी
- शेर (Lion)
- सच्ची हिकायत
- सच्ची हिकायात--हिस्सा अव्वल
- सवानेह हयात
- सुबहे शबे विलादत
- हज़रत इमाम हसन रदिअल्लाहु अन्हु
- हज़रत खिज़्र अलैहिस्सलाम
- हिंदी हदीस-ए-पाक
Blog Archive
-
▼
2020
(121)
-
▼
December
(21)
- यूसुफ़ अलैहिस्सलाम और आईना
- बेसिबाती दुनिया
- तेरह सौ साल(1300) की उम्र का बादशाह
- सौतेली बेटी
- सुलेमान अलैहिस्सलाम और मलक-उल-मौत
- माँ की ममता
- सुलेमान अलैहिस्सलाम का फ़ैसला
- एक अज़ीमुश्शान हुकूमत
- ठंडा चश्मा
- पत्थर की ऊँटनी
- तूफ़ान बाद
- जानवरों की बोलियाँ
- हज़रत मूसा व हज़रत ख़िज़्र अलैहिस्सलाम
- क़ातिल का सुराग़
- सामरी सुनार
- बनी इस्राईल की गुमराही
- हज़रत मूसा अलैहिस्सलाम और एक बूढ़िया
- नमक हराम ग़ुलाम
- फ़िरऔन की हलाकत
- खून ही खून
- जुएँ और मेण्ढक
-
▼
December
(21)