Showing posts with label Sher (Lion). Show all posts
Showing posts with label Sher (Lion). Show all posts

Sher (Lion) | Roman Post Part wise Link


▫️Part-- 03 | 🌳 Sher 🌳

___________________________________
〽️ Masnavi Sharif Me Sher Se Mutalliq Kuchh Sabaq Aamez Riwaytein Darj Hain Unme Se Kuchh Ka Tazkira Yahan Karta Hoon ~


✳️ SHER AUR KHARGOSH : Ek Jungle Me Ek Sher Ke Tamam Jaanwaro Ko Hukm Diya Ki Tum Rozana Parchi Nikalo Aur Jiske Naam Ki Parchi Aa Jaye To Wo Khud Hi Mere Paas Aa Jaaye Taaki Main Use Khakar Apni Bhook Mitaun Aur Uske Alawa Kisi Aur Ko Pareshan Na Karun Saare Jaanwar Ispar Raazi Ho Gaye.

Ek Din Ek Chalaak Khargosh Ka Naam Nikal Aaya Pahle To Usne Jaane Me Aanakaani Ki Magar Jab Doosre Jaanwaro Ne Tambih Ki To Wo Jaane Ko Taiyar Ho Gaya, Wo Kuchh Deir Se Sher Ke Paas Pahuncha Sher Ne Gusse Me Usse Deir Se Aane Ki Wajah Poochhi To Kahne Laga Ki Huzoor Main Aur Mera Bhai Dono Aapke Paas Aane Ko Nikle Hi The Ki Raaste Me Ek Aur Sher Mil Gaya Aur Usne Mere Bhai Ko Rok Liya Main Jaan Bacha Kar Aapke Paas Aaya Hoon.

Sher Ne Jab Ye Suna To Maare Gusse Ke Kahne Laga Ki Mujhe Uske Paas Le Chalo To Khargosh Use Lekar Ek Kunwe Ki Munder Par Aaya Aur Kaha Ki Wo Dekhiye Wo Isme Ghusa Baitha Hai Aur Mera Bhai Bhi Hai, Jab Sher Ne Kunwe Me Jhaanka To Uska Aks Aur Khargosh Ka Aks Usme Nazar Aaya To Usne Kunwe Me Chhalang Laga Di Aur Doobkar Mar Gaya, Khargosh Apni Aqlmandi Se Apni Jaan Bachakar Waapas Aa Gaya.

🌹 Sabaq- Isse Do Sabaq Milte Hain Pahla To Ye Ki Agar Che Musibat Sar Par Hi Kyun Na Aa Jaaye Magar Apni Tadbeer Insaan Ko Nahin Chhodni Chahiye Aur Koshish Karte Rahna Chahiye Aur Doosri Ye Ki Jis Tarah Sher Ne Apne Aks Ko Doosra Samajh Kar Use Nuksaan Pahunchane Ki Garz Se Hamla Kiya Aur Khud Hi Nuksaan Uthaya Usi Tarah Ek Musalman Ka Apne Musalman Bhai Ko Nuksaan Pahunchana Dar Asal Usko Nahin Balki Khud Ko Hi Nuksaan Pahunchana Hai Jiski Keemat Use Aakhirat Me Chukani Hogi.


🔆 SHER AUR LOMDI :  Ek Sher Boodha Ho Gaya To Ek Gufa Me Ruposh Ho Gaya Jab Kuchh Din Uska Aatank Nahin Dikha To Jaanwar Uski Taraf Se Mutmayin Ho Gaye, Ek Roz Uski Bimari Ki Khabar Jungle Me Phail Gayi To Jaanwar Uski Iyadat Ko Gufa Me Jaane Lage Magar Jo Bhi Jaata Wo Waapas Na Aata,Phir Ek Lomdi Wahan Pahunchi Aur Baahar Se Hi Sher Ki Haal Khairiyat Poochhi To Sher Ne Andar Aane Ko Kaha To Wo Boli Ki Mujhe Lagta Hai Ki Aapki Khairiyat Baahar Se Poochhne Me Aafiyat Hai Kyunki Main Jaanwaro Ke Andar Jaane Ke Qadmo Ke Nishaan To Dekh Rahi Hoon Magar Baahar Aane Ka Koi Nishan Nahin Hai

🌹Sabaq- Door Andeshi Se Kaam Lena Hamesha Faaydemand Hota Hai.


✳️ SHER AUR BHED :  Ek Bhed Chhat Par Chadhkar Neeche Se Guzarte Hue Sher Ko Gaaliyan

▫️Part-- 02 | 🌳 Sher 🌳

___________________________________
◼️ Hazrat Abdullah Ibne Umar Raziyallahu Taala Anhu Kahin Ja Rahe The Raaste Me Kuchh Logon Ko Thahre Huye Dekha To Aap Apni Sawari Se Utar Gaye, Jab Haal Poochha To Pata Chala Ki Ek Sher Aakar Raaste Par Baith Gaya Hai Ab Koi Us Raaste Par Jaaye Kiski Majaal Ye Sunkar Aap Sher Ke Paas Pahunche Aur Uska Kaan Pakadkar Farmaya Ki Ye Teri Jagah Nahin Chalo Raasta Chhodo, Sher Dum Hilaata Hua Jungle Ko Chala Gaya.

Hazrate Safina Raziyallahu Taala Anhu Shahre Rome Me Kisi Jung Ke Mauqe Par Lashkar Se Juda Hokar Ek Jungle Me Bhatak Gaye, Achanak Aapke Saamne Ek Sher Aa Gaya Aapne Farmaya Ki Khabardar Main Rasool ALLAH Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ka Ghulam Hoon, Itna Sunte Hi Wo Aapke Aage Aage Ghulamana Taur Par Chalne Laga Aur Aapko Lashkar Se Milakar Waapas Laut Gaya.

📕 Ajaybul Haiwanat, Safah 21

〽️ Isse Maloom Hua Ki Sher Jaisa Wahshi Jaanwar Bhi ALLAH Waalon Ki Qadr Samajhta Hai Jab Hi To Apni Aadat Ke Khilaf Unke Saath Pesh Aaya.


◻️  Khwab : Me Sher Ko Dekhna Goya Jaabir Dushman Se Muqaabla Hai Agar Ye Sher Se Bachkar Bhaag Aaya To Dushman Se Nijaat Hai. Agar Sher Ne Hamla Kiya Aur Ye Bach Gaya To Dushman Sar Par Aa Jayega Magar Phir Bhi Nijaat Mil Jayegi Aur Agar Sher Ne Pachhad Diya To Sakht Bimaar Hoga Ya Musibat Me Giraftar Hoga Ya Phir Maut Aane Ki Nishani Hai Aur Agar Isne Sher Ko Pachhad Diya To Rutba Azeem Hoga Yunhi Agar Sher Ghar Me Aaya Magar Nuksaan Na Pahunchaya To Bhi Martabe Ki Daleel Hai, Jisne Sher Ka Gosht Khaya Ya Sherni Ka Doodh Piya To Use Dushman Par Fatahyabi Milegi Ya Kasrat Se Rozi Milegi Aur Jisne Apni God Me Sher Ka Bachcha Dekha To Uske Yahan Ladka Hoga Jo Ameer Kabeer Hoga.

📕 Hayatul Haiwan, Jild 1, Safah 2-10
📕 Shmaye Shabistane Raza, Safah 660


✳️  Khwab Ke Taalluq Se Itna Yaad Rakhen Ki Jab Bhi Koi Achchha Khwab Nazar Aaye To

▫️Part-- 01 | 🌳 Sher 🌳

___________________________________
〽️ Sher Ko Arbi Me Asad Kahte Hain Ibne Khaalviya Likhte Hain Ki Sher Ke 500 Naam Hai Aur Ali Bin Qasim Bin Jaafer Lagvi Ne Isme 130 Naamo Ka Aur Izaafa Kiya Hai, Kisi Ke Zyada Naam Uski Azmat Ke Dalayal Hote Hain Isi Baat Se Sher Ki Azmat Ka Pata Chalta Hai. Sher Ek Taaqarwar Bahadur Chaalak Diler Jurratmand Aur Behtareen Hamla Aawar Jaanwar Hai.

Iski Paidayish Ka Bhi Ajeeb Tariqa Hai Sherni Ek Gosht Ka Bejaan Lothda Pet Se Nikaalkar Zameen Par Phenkti Hai Jise Wo 3 Din Tak Hifazat Me Rakhti Hai Chauthe Din Se Sher Uske Nathuno Me Phoonk Maarta Rahta Hai Yahan Tak Ki Usme Rooh Pad Jaati Hai Ab Uske Aaza Bante Hain Jise Sherni Apne Doodh Se Paalti Hai, Bachcha 7 Din Ke Baad Hi Apni Aankh Kholta Hai Aur 6 Mahine Me Poora Shikari Ho Jaata Hai.

Sher Bhookh Me Sabr Karta Hai Paani Bahut Kam Peeta Hai Kisi Jaanwar Ka Jhootha Nahin Khaata Yahan Tak Ki Apna Pet Bhar Jaane Ke Baad Usi Shikar Se Dobara Kuchh Nahin Khaata, Sher Kutte Ka Jhoota Paani Kabhi Nahin Peeta Uski Garaj Se Saare Jaanwar Darte Hain Magar Gadha Itna Darr Jaata Hai Ki Bhaag Bhi Nahin Paata, Sher Murg Ki Baang Mor Ki Thong Aur Billi Se Bahut Darta Hai Aag Dekhkar Hairan Hota Hai, Jab Ye Beemar Hota Hai To Bandar Khaata Hai Aur Theek Ho Jaata Hai Iske Budhape Ki Alamat Iske Daaton Ka Girna Hai, Ye Chahe Kitna Bhi Bhookha Ho Magar Kisi Haiz Waali Aurat Ke Qareeb Bhi Nahin Jaata Umr Bahut Lambi Paata Hai Aur Iska Badan Hamesha Garm Rahta Hai.

📕 Hayatul Haiwan, Jild 1, Safah 53-57
📕 Ajaaybul Haiwanaat, Safah 20


◻️ Jab Kashti Me Tamam Jaanwaro Ke Saath Sher Sawaar Hua To Saare Jaanwar Dahshat Me Aa Gaye To Maula Ne Sher Ko Bukhaar Me Jakad Diya, Ye Pahla Jaanwar Hai Jo Beemar Hua.

📕 Albidaya Wannihaya, Jild 1, Safah 111


◼️ Kashtiye Nooh Me Kuchh Jaanwaro Ki Paidayish Batayi Jaati Hai Jo Ki Is Tarah Hai Jab Kashti Me Jaanwaro Ne Gobar Wagairah Karna Shuru Kiya To Kashti Badbu Se Bhar Gayi Logon Ne Hazrat Nooh Alaihissalam Ki Baargah Me Shikayat Ki To Maula Ne Farmaya Ki Haathi Ki Dum Hilao Jab Aapne Aesa Kiya To 2 Suwar Nar Aur Maada Baramad Huye Aur Najasat Khaane Lage, Iblees Ko Mauqa Mila Aur Usne Suwar Ke Peshani Par Haath Fera To To 2 Chuhe Nar Wa Maada Paida Huye Jinhone Kashti Ko Kutarna Shuru Kar Diya, Jab Hazrat Nooh Alaihissalam Ne Dekha To Khuda Ki Baargah Me Arz Kiya To Maula Farmata Hai Ki Tum Sher Ki Peshani Par Apna Haath Fero Jab Unhone Aisa Kiya To Sher Ko Chheenk