Showing posts with label Sawal-o-Jawab Session-1. Show all posts
Showing posts with label Sawal-o-Jawab Session-1. Show all posts

Haram Shareef Me Kaam Karne Wale Shakhs Ko Khairat Waigrah Dena Kaisa ?

Sawal:-  Makkah Sharif Aur Madina Sharif Mein Jo Log Haram Sharif Mein Kaam Karte Hain Kya Unko Paise De Sakte Hai Khairat Waigrah. Unka Aqida To Hame Malum Nahi Hai Lekin Wo Log Haram Ke Imam Ke Sath Namaz Padhte Hain ?

Jawab:-  Jo Log Haram Ke Imam Ke Peechhe Namaz Padhte Hain Unko Khairaat Wagairah Hargiz Na Den.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Tattoo Banwana Kaisa Hai ?

Sawal:-  Apne Jism Par Tattoo Banwana Kaisa Hai Aur Apna Ya Kisi Ka Naam Haath Par Likhwana Kaisa Hai ?

Jawab:-  Jaandaar Ka Tattoo Banwana Jaayez Nahin Aur Name Wagairah Bhi Likhne Se Bachna Hi Chahiye Is Liye Kee Ye Faasiq O Faajir Ka Tareeqa Hai.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Kya Umrah Karne Wale Ko Haji Kaha Ja Sakta Hai ?

Sawal:-  Jo Log Ummrah Karke Aate Hain To Kya Wo Haji Huye ? Kya Unhe Haji Kaha Ja Sakta Hai ?

Jawab:-  Jis Ne Hajj Nahin Kiya Sirf Umrah Kiya Hai Woh Haaji Nahin Hai.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Asr Aur Magrib Ke Darmiyaan Sona Chahiye Ya Nhi ?

Sawal:-  Aksar Ye Aam Hai Ki Asr Aur Magrib Ke Darmiyaan Sona Nahi Chahiye, Shehat Ko Nuksaan Hai. Iski Sharayi Haqiqat Kya Hai ?

Jawab:-  Jee Ye Sahih Hai Asr O Magrib Ke Darmiyan Aur Magrib O Isha Ke Darmiyan Nahin Sona Chahiye.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Gair Mahram Ke Saath Dosti Krana Kaisa ?

Sawal:-  Hum College Jate Hain Aur Humare Group Me 2 Ladki Hain Jo Burqa Pahnti Hain Aur Hamare Group Me 5 Ladke Hain. Kya Hum Ladki Ke Saath Dosti Bana Sakte Hain ? Kya Hum Normal Dosti Rakh Sakte Hain ?

Jawab:-  Gair Mahram Ke Saath Is Tarah Rahne Mein Ikhtilaat Zaroor Hai Lihaza Un Se Is Tarah Ki Dosti Jaayez Nahin.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Jo Bina Mureed Huye Duniya Se Gaya

Sawal:- Kya Wo Shakhs Nuksaan Mein Hai Jo Bina Mureed Huye Duniya Se Gaya ?

Jawab:-  Mureed Hone Se Jo Faaidah Hai Duniya O Aakhirat Mein Us Faadah Se Mahroom Raha.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Bachpan Mein Mureed Huye Aur Bade Hoke Dusre Se Mureed Hona Chahe To Kya Hukm Hai ?

Sawal:-  Agar Bachpan Mein Mureed Huye Aur Hosh Sambhalane Ke Baad Ye Lage Ki Mujhe Inse Nahi Kisi Aur Se Mureed Hona Hai To Kya Hukm Hai ?

Jawab:-  Bachpan Mein Jis Peer Se Mureed Hua Agar Us Mein Sharaait E Peer Maujood Hain To Bai'at Todna Jaayiz Nahin Haan Taalib Ho Sakte Hain.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Kaunsi Umr Mein Mureed Hona Chahiye ?

Sawal:-  Kaunsi Umr Mein Mureed Hona Chahiye ?
 
Jawab:-  Mureed Hone Ke Liye Umar Ki Koi Qaid Nahin Ek Din Ka Bachcha Bhi Mureed Ho Sakta Hai.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Kya Ek Se Zyada Peer Se Mureed Ya Taalib Ho Sakte Hain ?

Sawal:-  Kya Ek Se Zyada Peer Se Mureed Ya Taalib Ho Sakte Hain ?

Jawab:-  Ek Hi Waqt Mein 2 Peero Se Mureed Hona Sahih Nahin.

💢haan Agar Murshid Ka Inteqaal Ho Gaya Ya Bahut Door Hain To Kisi Jaame' Sharaait E Peer Se Taalib Ho Jaaye'n.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Taalib Hona Kya Hai ?

Sawal:-  Taalib Hona Kya Hai ?

Jawab:-  Apne Peer Ki Bai'at Par Qaaim Rahte Huye Kisi Dosre Peer Se Mureed Hona Taalib Kahlata Hai.

Sawal:- Kya Taalib Hone Ke Liye Murshid Ki Ijazat Zaruri Hai ?

Jawab:- Taalib Hone Ke Liye Murshid Ki Iajzat Zaroori Nahin Haan Agar Murshid Maujood Ho To Behtar Hai Keh Ijazat Le Len.

Sawal:- Agar Musrhid Duniya Mein Ho Ya Na Ho To Ijazat Kaise Len ?

Jawab:- Agar Murshid Ka Inteqaal Ho Gaya Ya Bahut Door Hain To Is Soorat Mein Ijazat Ki Koi Zaroorat Nahin.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Peer Ya Murshid Ki Pehchaan Kaise Kiya Jaaye ?

Sawal:-  Peer Ya Murshid Ki Pehchaan Kaise Kiya Jaaye Ki Ye Peer Sahab Neq Hain Ya Sirf Dikhawa Hai ?

Jawab:-  Jis Peer Mein Ye 4 Sharten Maujood Hon Wo Sahih Peer Hai Aur Usse Mureed Hona Jaayez ~

Huzoor Sadrushshari'ah Badruttariqah عليه الرحمة والرضوان Irshad Farmate Hain -

Jab Mureed Hona Ho To Achhi Tarah Tafteesh Kar Len Warna Agar Badmazhab Hua To Eemaan Se Bhi Haath Dho Baithenge.

💢 peeri Ke Liye 4 Sharten Hain Qabl Az Bai'at Unka Lihaaz Farz Hai-

1).
Sunni Sahihul Aqeedah Hona.

2). Itna Ilm Rakhta Ho Kee Apni Zaroorat Ke Masaail Kitaabon Se Nikaal Sake.

3). Faasiq E Mu'lim Na Ho.

4). Uska Silsilah Nabi صلی اللہ تعالی عليه وسلم Tak Muttasil Ho.

#(Bahar E Shari'at, Hissa-1, Safah-79 )
والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Kyun Kisi Ko Apna Peer Banana Chahiye ?

Sawal:-  Peeri Muridi Ki Haqiqat Kya Hai ? Kyun Kisi Ko Apna Peer Banana Chahiye ?
Kya Huzoor Alaihissalaam Ka Farmaan Hai ?

Jawab:-  Mureed Hona Ye Hai Kee Kisi Jaame' Sharaait E Peer Ke Rubaru Taubah Kar Ke Nek Kaamo Ka Pokhta Wa'dah Kare Aur Isi Ko Bai'at Hona Bhi Kahte Hain.

💢bai'at Ka Zikr Kayi Ahaadees Mein Hai Aur Bai'ate Rizwan Ka Zikr To Quran Mein Bhi Hai.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Badmazhab Ya Gair Mazhab Ki Shaadi Me Shirkat Karna Kaisa ?

Sawal:- Kya Hum Kisi Badmazhab Ya Gair Mazhab Ki Shaadi Me Shirkat Kar Sakte Hain ?

Jawab:- Wahabi Devbandi Gair Muqalid Wagairah Ki Shadi Mein Shirkat Jaayez Nahin.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Mahar Shauhar Ne Adaa Nahi Kiya Aur Biwi Ka Wisaal Hogaya To Iska Kya Hukm Hai ?

Sawal:- Agar Mahar Shauhar Ne Adaa Nahi Kiya Aur Biwi Ka Wisaal Hogaya Aur Maafi Ka Waqt Bhi Na Mila To Aesi Surat Me Kya Kiya Jaye ?

Jawab:-  Mahar Ki Raqam Ab Tarkah Hai Wo Biwi Ke Wariseen Ke Darmiyaan Hasb E Hukm Shara Taqseem Hoga Yani Shauhar Mahar Ki Raqam Biwi Ke Tarkah Mein Shamil Kar De Aur Tarkah Biwi Ke Wariso Mein Hasb E Hukm Shara Taqseem Kare.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Khoon Nikalne Se Kya Wuza Toot Jayega ?

Sawal:-  Khoon Nikalne Se Kya Wuza Toot Jayega ?

Jawab:-  Agar Itni Miqdaar Mein Khoon Nikala Kee Agar Wo Khud Nikalta To Bah Jaata To Itni Miqdaar Se Wazu Toot Jaayega.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Ek Aurat K Liye Gair Mahram Kaun Hota Hai ?

Sawal:-  Ek Aurat K Liye Gair Mahram Kaun Hota Hai ?

Kya Gair Mahram Ke Samne Aurat Ki Namaz Hoti Hai, Jaise Sasur Ya Dewar Ya Bhai Ke Samne ?

Jawab:-  Gair Mahram Wo Hai Jis Se Nikah Ho Sakta Hai, Agar Bapardah Hai To Gair Mahram Ki Maujoodgi Mein Bhi Namaz Ho Jaayegi.

Sasur Mahram Hai Aur Dewar Gair Mahram

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



3 Juma Kisine Jaan-Bujhkar Chhod Diya To Wo Kafir Hojayega ?

Sawal:-  Ye Kaha Jata Hai Ki 3 Juma Kisine Jaan-Bujhkar Chhod Diya To Wo Kafir Hojayega Kya Iss Tarah Kee Koi Baat Quraan O Ahaadees Me Hai ?

Jawab:-  Jis Par Juma Farz Hai Usne Jaan Boojh Kar Kayi Juma Chhoda To Kaafir Na Hua Magar Sakht Gunahgaar Mustahiqq E Azab E Naar Faasiq O Faajir Hai Farz Hai Kee Taubah Kare Aur Namaz E Bajamat Ki Pabandi Kare.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Imam Sahab Ne Sawal Puchne Par Ye Kaha Ki Tum Jahilon Ko Is Masle Me Nahi Padna Chahiye

Sawal:-  Ek Shakhs Ek Imam Ke Paas Gaya Us Shakhs Ne Imam Sahab Se Poocha Kee Hazrat Video Ko Kuch Maulana Jayiz Kahte Hain Or Kuch Najayiz To Imam Sahab Ne Usko Bola Tum Jaise Jahilo Ko Is Me Padne Ki Jaroorat Nhi Hai, To Imam Sahab Ke Liye Kya Hukm Hai ?

Jawab:-  Jandar Ki Tasweer Saazi Haraam Hai Imam Sahab Ko Chahiye Kee Iska Haraam Hona Bata Dete.

💢baharhaal Agar Jaahil Kahne Se Us Shakhs Ki Dil Aazaari Huyi Ho To Imam Sahab Us Shakhs Se Mu'aafi Maange.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Kaun Kaun Samandari Janwar Halaal Hai ?

Sawal:-  Samandar Se Milne Wali Khane Wali Chije Jaise Fish To Halal Hai Par Jhingaa (Pawn), Kekda, Octopus Kya Inhe Khana Jayiz Hai ?

Jawab:-  Huzoor Sadrushshari'ah Badruttariqah عليه الرحمة والرضوان Irshad Farmate Hain -

Jhinge Ke Mutaliiq Ikhtilaf Hai Kee Ye Machhli Hai Ya Nahin Isi Bina Par Iski Hiilat O Hurmat Mein Bhi Ikhtilaf Hai Bazaahir Uski Soorat Machhli Ki Si Nahin Maloom Hoti Balkee Ek Qism Ka Keeda Maloom Hota Hai Lihaza Isse Bachna Hi Chahiye.

#(Bahar E Shari'at, Hissa-15, Safah-126 Halaal O Haraam Janwaro Ka Bayan )


♻Machhli Ke Ilawah Koi Dosra Samandri Janwar Halaal Nahin.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html



Bagair Wazu Ke Hadees Sharif Ki Kitaben Padhna

Sawal:- Bagair Wazu Ke Hadees Sharif Ki Kitaben Padh Sakte Hain Ya Nhi ?

Jawab:-  Padh Sakte Hain Magar Wazu Ke Saath Behtar Hai.

والله تعالٰی اعلم
___________________________________
📝 Answer By- MUFTI DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI

📌 More Question-Answer Click👇-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/1.html