Showing posts with label Anwar _e_ Shariat. Show all posts
Showing posts with label Anwar _e_ Shariat. Show all posts

Anwar e Shariat | PART WISE Links |


 Anwar e Shariat PART WISE

▪Post--01, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪ALLAH TA’ALA:☪

⛲SAWAL:

➡ALLAH ta’ala ke baare me kaise aqida rakhna chahiye ?

🌟JAWAB:

➡ALLAH ta’ala ek hai uska koyi shareek nahi aasmaan wa zameen aur saari maqluqaath ka paida karne waala wahi hai. Wahi Ibaadath ke layiq hai dusra koyi Ibaadath ke layiq nahi hai. Wahi sabko rozi deta hai. Ameeri gareebi aur izzath wa zillath sab uske iqtiyaar me hai.

⏺Jise chahta hai izzath deta hai, aur jise chahta hai zillath deta hai. Uska har kaam hikmath hai. Bandon ki samaj me aaye ya na aaye wa har kamaal wa qoobi waala hai. Jhoot, Daga, Qiyanath, Zulm, Zihal wagairah har ayeb se paak hai. Uske liye kisi ayeb ka maan na kufr hai.

⛲SAWAL:

➡Kya ALLAAH ta’ala ko budhav kehna jayiz hai ?

🌟JAWAB:

▪Post--02, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

*☪FIRISHTE:☪*

⛲SAWAL:

➡Firishte Kya cheez hai ?

🌟JAWAB:

➡Firishte Insaan ki tarah maqluq hai, lekin woh noor se paida kiye gaye hai. Na woh mard hai, na woh aurat hai, na kuch khaate hai, na kuch peete hai, jitne kaam khudaaye ta’ala ne unke supurd kiya hai usi me lage rehte hai. Kuch Firishte Bandon ka achcha bura amal likhne par muqarar hai jinko KIRAAMAN, KAATIBEEN kaha jaata hai.

⏺Kuch Firishte Qabr me murdon se sawaal karne par muqarar hai jinko MUNKAR, NAKEER kaha jaata hai.

➡Aur kuch Firishte Huzur صلى الله عليه وسلم ke darbaar me musalmaano ke darood wa salaam pahunchane par muqarar hai.

⏺Unke alaawa aur bhi bahut se kaam hai unme chaar Firishte bahut mashoor hai, Awwal Hazrath-E-JIBRAEEL عليه السلام jo ALLAAH ta’ala ke Ahekaam paigambaro tak pahunchate hai.

➡Dusre Hazrath-E-ISRAFEEL عليه السلام jo Qiyamat ke din soor Phunkenge.

▪Post--03, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

KHUDAAYE TA’ALA KI KITAABEIN:

⛲SAWAL:

➡Khudaaye ta’ala ki Kitaabein kitni hai ?

🌟JAWAB:

➡Khudaaye ta’ala ki choti choti bahut si kitaabein naazil huwi badi kitaab ko kitaab aur choti kitaab saheefah kehte hai, unme chaar kitaabe bahut mashoor hai,

1. Awwal TAURAITH jo Hazrath-E-MOOSA عليه السلام par naazil huwi,

2. Dusri ZABOOR jo Hazrath-E-DAWOOD عليه السلام par naazil huwi aur

3. Teesri INJEEL jo Hazrath-E-ISA عليه السلام par naazil huwi,

4. Chouthi QUR’AAN jo hamare Nabi Huzur MUHAMMED MUSTAFA ﷺ par naazil huwi.

⛲SAWAL:

➡Poora Qur’aane majeed ek dafa naazil huwa ya thoda thoda ?

🌟JAWAB:

➡Poora Qur’aane majeed ek dafa ikhatta nahi naazil huwa balke zaroorath ke mutaabiq teyis (23) baras me thoda thoda naazil huwa.

⛲SAWAL:

➡Kya Qur’aan majeed ki har surat aur har aayat par Imaan laana zaruri hai ?

🌟JAWAB:

▪Post--04, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪RASOOL AUR NABI:☪

⛲SAWAL:

➡Rasool aur Nabi koun hote hai ?

🌟JAWAB:

➡Rasool aur Nabi Khudaaye Ta’ala ke bande aur insaan hote hai. ALLAAH Ta’ala ne unko insaan ki hidaayath ke liye duniya me bheja hai. Woh bandon tak Khudaaye Ta’ala ka paigaam pahunchate hai.

⏺Moujize dikhaate hai, aur gaib ki baatein batate hai, Jhoot kabhi nahi bolte woh har gunah se paak saaf hote hai, unki tadaad kuch kam wa peish ek laakh choubees hazaar ya taqreeban doo laakh choubees hazaar hai (124000 aur 224000),

➡Sab se pehle Nabi Hazrath-E-Aadam عليه السلام hai aur sab se aakhri Nabi Hamare Paigambar Hazrath MUHAMMED MUSTAFA ﷺ hai.

⛲SAWAL:

➡Kya hum Hinduoun ke peshwawon ko Nabi keh sakte hai ?

🌟JAWAB:

▪Post--05, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

*☪HAMARE NABI:☪*

⛲SAWAL:

➡Hamare Nabi koun hai ? Unka kuch haal bayan kijiye ?

🌟JAWAB:

➡Hamare Nabi Hazrath MUHAMMED MUSTAFA ﷺ hai, jo 12 Rabiul Awwal Mutaabik 20 April sun 571 EO me Makkah shareef me paida huwe unke waalid ka naam Hazrath-E-Abdullah aur waalida ka naam Hazrath-E-Aamina رضوان الله اجمعين hai.

⏺Aap ﷺ ki zaahiri zindagi Tirsat (63) baras ki huwi, Tirpan (53) baras ki umr tak Makkah shareef me rahe fir dus saal Madeena Taiba me rahe 12 Rabiul Awwal sun 632 EO zaahiri zindagi me wafaath paayi, Aap ﷺ ka mazare mubaarak Madina shareef me hai. Jo Makkah shareef se taqreeban 320 km upar hai.

⛲SAWAL:

➡Hamare Nabi ﷺ ke kuch khubiya bayan kijiye ?

🌟JAWAB:

▪Post--06, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪QIYAMAT KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Qiyamat kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Qiyamat uss din ko kehte hai jis din Hazrath-E-ISRAFEEL عليه السلام soor phunkenge, soor seeng ke shakal ki ek cheez hai jiski aawaaz sunkar sab aadmi aur tamaam jaanwar mar jayenge, zameen, aasmaan, chand, sooraj aur pahaad wagairah duniya ki har cheez toot foot kar fana ho jayegi yaha tak ki soor bhi khatm ho jayega aur Hazrath-E-ISRAFEEL عليه السلام bhi fana ho jayenge yeh waqiya Muharram ki Dusvi tariq Jum’a ke din hoga.

⛲SAWAL:

➡Qiyamat ki kuch nishaaniya bayan kijiye ?

🌟JAWAB:

▪Post--07, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪TAQDEER KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Taqdeer kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Duniya me jo kuch hai aur bande jo kuch bhalayi burayi karte hai Khudaaye Ta’ala ne usse apne Ilm ke muafiq pehle se likh diya hai usse Taqdeer kehte hai.

⛲SAWAL:

➡Kya ALLAAH Ta’ala ne jaisa hamari Taqdeer me likh diya hai hame majburan waisa karna padhta hai ?

🌟JAWAB:

▪Post--08, 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

*MARNE KE BAAD ZINDA HONA*

⛲SAWAL:

➡Marne ke baad zinda hone ka matlab kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Marne ke baad zinda hone ka matlab yeh hai ki Qiyaamat ke din jab zameen, aasmaan, insaan aur farishte wagairah sab fana ho jayenge toh fir Khudaaye Ta’ala jab chahega Hazrath-E-ISRAFEEL عليه السلام ko zinda farmayega woh dubaara soor phunkenge, toh sab cheezein moujud ho jayengi.

⏺Farishte aur Aadmi wagairah sab zinda ho jayenge murde apni apni qabron se uthenge, Hashr ke maidaan me Khudaaye Ta’ala ke saamne peshi hogi,

➡Hisaab liya jayega aur har shaks ko achche bure kaamo ka badla diya jayega yaani achcho ko

▪Post--09 (a), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

*SHIRK WA KUFR KA BAYAN:*

⛲SAWAL:

➡Shirk kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Khudaaye Ta’ala ki Zaath wa Sifaath me kisi ko shareek tehraana Shirk hai. Zaath me shareek tehraane ka matlab yeh hai ke doo ya doo se ziyada khuda maane jaise Isaayi ke teen khuda maan kar mushrik huwe.

⏺Aur sifaath me shareek tehrane ka matlab yeh hai ki Khudaaye Ta’ala ki sifaath ki tarah kisi dusre ke liye koyi sifaath saabith kare maslan sunna aur dekhna wagairah jaisa ki Khudaaye Ta’ala par saabith hai, usi tarha kisi dusre ke liye sunna aur dekhna wagairah zaathi taur par maane ki bagair Khuda ke diye usse yeh sifaathein khud hasil hai, toh shirk hai aur agar kisi dusre ke liye atayi taur par maane ke Khudaaye Ta’ala ne usse ye sifaatein ataa ki hai toh shirk nahi

_▪Post--09 (b),_ *🌠 Anwar _e_ Shariat ☪*

SHIRK WA KUFR KA BAYAN

⛲SAWAL:

➡Kufr kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Zaruriyate deen me se kisi ek baat ka inkaar karna Kufr hai. Zaruriyate deen bahuth hai unme se kuch ye hai Khudaaye Ta’ala ko ek aur waajibul wajood maanna uski zaath wa sifaath me kisi ko shareek na samajhna, zulm aur jhoot wagairah tamaam ayeb se usko paak maanna, uske malaaika aur uski tamaam kitaabo ko maanna,

⏺Qur’aan majeed ki har aayat ko haq samajhna, Huzur Sayyade Aalam ﷺ aur tamaam Ambiya-e-karam ki nuboowath ko tasleem karna un sabko azmath waala jaanna, unhe zaleel aur chota na samajhna unki har baat jo qatayi aur yakhini taur par saabith ho usse haq jaanna Huzur ﷺ ko Qatimun Nabiyeen maanna unke baad kisi nabi ke paida hone ko jayiz na samajhna,

➡Qiyamat, Hisaab wa kitaab aur Jannat wa Dozaq ko haq maanna, Namaaz wa Roza aur Haj wa Zakaat ki farziyaat ko tasleem karna, Zina, Chori aur Sharaab noshi wagairah haraam qataayi ki hurmat ka itiqaad karna aur kafir ko kafir jaanna wagairah.

⛲SAWAL:

➡Kisi se Shirk ya Kufr ho jaaye toh kya kare ?

🌟JAWAB:

▪Post--09 (c), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

SHIRK WA KUFR KA BAYAN

⛲SAWAL:

➡Shirk aur Kufr ke alaawa koyi dusra gunah ho jaaye toh maafi ki kya surath hai ?

🌟JAWAB:

➡Tauba kare Khudaaye Ta’ala ki baargah me roye gid gidaaye apni galti par naadim wa pasheema ho aur dil me pakka ahad kare ke aub kabhi aisi galti na karunga, sirf zuban se tauba tauba keh lena tauba nahi hai.

⛲SAWAL:

➡Kya har qism ka gunah tauba se maaf ho sakta hai ?

🌟JAWAB:

➡Jo gunah kisi bande ki haqta’lafi se ho maslan kisi ka maal gazab kar liya, kisi par tohmath lagaayi ya zulm kiya toh inn gunahon ki maafi ke liye zaruri hai ke pehle uss bande ka haq waapis kiya jaaye ya usse maafi maangi jaaye, fir Khudaaye Ta’ala se tauba kare toh maaf ho sakta hai.

▪Post--10 (a), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪BIDA’ATH KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Bida’ath kise kehte hai ? aur uski kitni qisme hai ?

🌟JAWAB:

➡Istilaahe Sharaa (Islami Zaban) me Bida’ath aise cheez ke ijaad karne ko kehte hai jo Huzur ﷺ ke zaahiri zamaane me na ho khwah woh cheez deeni ho ya duniyawi
(Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125)

⏺Aur Bida’ath ki teen qisme hai Bida’athe Hasna, Bida’athe Sayyia, Bida’athe Mubah.

➡Bida’athe Hasna woh Bida’ath hai jo Qur’aan wa Hadees ke wasool wa qawaid ke mutabiq ho aur unhi par qiyaas kiya gaya ho uski doo qisme hai. Awwal Bida’athe Waajiba jaise Qur’aan wa Hadees samajhne ke liye ilme nahav ka seekhna aur gumrah firke maslan Khaarji, Raafzee, Qaadiyani aur Wahabi wagairah par rad ke liye dalaayil qayam karna.

⏺Duwwam Bida’athe Mustahaba jaise madrason ki taamir aur har woh neik kaam jiska riwaaj ibtidaaye zamaane me nahi tha jaise azaan ke baad salaat pukaarna, durre muqtaar babul azaan me hai ki azaan ke baad Assalatu Wasallamu Alaika Ya Rasoolullaah ﷺ pukaarna, maahe Rabbiul Aaqar sun 781 Hijri me jaari huwa aur ye Bida’athe Hasna hai.

⛲SAWAL:

➡Bida’athe Sayyia kise kehte hai ? aur uski kitni qisme hai ?

🌟JAWAB:

➡Bida’athe Sayyia woh Bida’ath hai jo Qur’aan wa Hadees ke usool wa qawaid ke muqalif ho (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125) uski doo qisme hai. Awwal Bida’athe Muharrama jaise Hindustan ki mukhwajaa taaziyadaari (Fatawa Azeeziya Risala Taaziyadaari Aala Hazrath) aur jaise ahle sunnat wa jamath ke khilaf naye aqeeda waalon ke mazaahib (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125)

⏺Duwwam Bida’athe Makruha jaise Juma wa Eidein ka khutba gaire arabi me padhna.

⛲SAWAL:

➡Bida’athe Mubah kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

▪Post--10 (b), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪BIDA’ATH KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Kya Bida’ath ka Hasna aur Sayyia hona Hadees shareef se bhi saabith hai ?

🌟JAWAB:

➡Haan Bida’ath ka Hasna aur Sayyia hona Hadees se bhi saabith hai Tirmizi shareef me hai ki Hazrath-E-Umar Farooqe Aazam رضي الله عنها ne Taraveeh ki baqaida jamaath qayim karne ke baad farmaya ki ye bahuth achchi Bida’ath hai

(Mishkath safa 115)

⏺Aur Muslim shareef me Hazrath-E-Zaabir رضي الله عنها se riwayath hai ki Rasool e Kareem ﷺ ne farmaya ki jo islam me kisi achche tariqe ko raayij karega toh usko apne raayij karne ka bhi sawaab milega aur unn loogon ke amal karne ka bhi sawaab milega jo uske baad uss tariqe par amal karte rahenge aur amal karne waalon ke sawaab me koyi kami bhi na hogi aur jo shaks mazhabe islam me kisi bure tariqe ko raayij karega toh uss shaks par uske raayij karne ka bhi gunah hoga aur unn loogon ke amal karne ka bhi gunah hoga jo uske baad uss tariqe par aml karte rahenge aur amal karne waalon ke gunah me koyi kami bhi na hogi.

(Mishkath safa 33)

⛲SAWAL:

➡Kya milaad shareef ki mehfil munaqid karna Bida’athe Sayyia hai ?

🌟JAWAB:

➡Milaad shareef ki mehfil munaqid karna uss me Huzur ﷺ ki paidayishi ke halaath aur deegar fazayil wa munaqib bayan karna barkath ka bayis hai. Usse Bida’athe Sayyia kehna gumraahi wa badmazhabi hai.

⛲SAWAL:

➡Kya Huzur ﷺ ke zamaane me maiyyath ka teeja hota tha ?

🌟JAWAB:

▪Post--11 (a), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪KITAABUL AAMAAL:☪


🖤WUZU KA BAYAN:🖤

⛲SAWAL:

➡Wuzu karne ka tariqa kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Wuzu karne ka tariqa yeh ki pehle tasmiya (Bismillah) padhe fir miswaak kare agar miswaak na ho toh ungli se daanth masle fir doono haatho ko gatton tak teen baar dhoye

⏺Pehle dahine haath par paani daale fir baaye haath par doono haatho ko ek saat na dhoye fir dahine haath se teen baar kulli kare fir baaye haath ki choti ungli se naak saaf kare aur dahine haath se teen baar naak me paani chadhaaye

➡Phir poora chehra dhoye yaani peshani par baal ugne ki jagah se thuddi ke neeche tak aur ek kaan ki lou se dusre kaan ki lou tak har hisse par paani teen baar bahaye iske baad doono haath kohniyon sameth teen baar dhoye ungliyoun ki taraf se kohniyon ke upar tak paani daale kohniyon ki taraf se na daale fir ek baar doono haath se poore sar ka mas’a kare fir kaano ka aur gardan ka ek ek baar mas’a kare fir doono paawon ko takhno sameth teen baar dhoye.

⛲SAWAL:

➡Dhone ka kya matlab hai ?

🌟JAWAB:

➡Dhone ka matlab ye hai ki jis cheez ko dhoowo uske har hisse par paani behjaaye.

⛲SAWAL:

➡Agar kuch hissa bheeg gaya magar uss par paani nahi baha toh Wuzu hoga ya nahi ?

🌟JAWAB:

▪Post--11 (b), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪WUZU KA BAYAN☪


⛲SAWAL:

➡Wuzu me sunnate kitni hai ?

🌟JAWAB:

➡Wuzu me sunnate solah (16) hai, Niyyath karna, Tasmiya padh kar shuru karna, Doono haatho ko gatton tak teen baar dhona, Miswaak karna, dahine haath se teen baar kulli karna, Dahine haath se teen baar naak saaf karna, Daadhi ka qilaal karna,

⏺Haath aur paawon ki ungliya ka qilaal karna, Har Aazah ko teen teen baar dhona, Poore sar ka ek baar mas’a karna, Kaano ka mas’a karna, Tarteeb se Wuzu karna, Daadhi ke jo baal muh ke dayare ke neeche hai unka mas’a karna, Aazah ko paidar pai dhona, har makruh baat se bachna.

⛲SAWAL:

➡Wuzu me kitni baate makruh hai ?

🌟JAWAB:

➡Wuzu me Ikkis (21) baate makruh hai. Aurat ke gusl ya Wuzu ke bache huwe paani se Wuzu karna, Wuzu ke liye najis jagah baithna, Najis jagah Wuzu ka paani giraana, Masjid ke andar Wuzu karna, Wuzu ka aaza se (Wuzu karna) Bartan me khatre tapkaana, Paani me reenth ya qhankar daalna, Qible ke taraf ki tarah thook ya qhankar daalna ya kulli karna,

▪Post--12 (a), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪GUSL KA BAYAN☪

⛲SAWAL:

➡Gusl karne ka tariqa kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Gusl karne ka tariqa ye hai ki pehle gusl ki niyyath karke doono haath gatton tak teen baar dhoye fir istinja ki jagah par dhoye uske baad badan par agar kahi najaasate haqiqiya yani peshaab wa paakhana agar ho toh usse door kare fir namaaz jaisa Wuzu kare magar pawoon na dhoye ‘haan’ agar chowki ya patthar wagairah oonchi cheez par nahaye toh pawoon bhi dhole.

⏺Iske baad badan par paani chupde fir teen baar dahine kandhe par paani bahaye aur fir teen baar baaye kandhe par fir sar par aur tamaam badan par teen baar paani bahaye badan par haath phere aur malein fir nahalene ke baad fauran kapda pehenle.

⛲SAWAL:

➡Gusl me kitni baate farz hai ?

🌟JAWAB:

▪Post--12 (b), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪GUSL KA BAYAN☪


⛲SAWAL:

➡Kin surthon me Gusl karna farz hai ?

🌟JAWAB:

➡Mani ka apni jagah se sehwat ke sath juda hokar ujwa se nikalna, Ithilam, Hasafa yaani sare jakar ka aurat ke aage ya piche ya mard ke piche dakhil hona dono par gusl farz hota hai. Haiz se farig hona. Nifas ka khatam hona.

⛲SAWAL:

➡Kin waqto mein gusl karna Sunnat hai ?

🌟JAWAB:

➡Juma, Eid, Bakraeid, Arfa ke din aur Ehraam baandhte waqt nahana sunnat hai.

⛲SAWAL:

➡Kin surathon me Gusl karna mustahab hai ?

🌟JAWAB:

▪Post--13 (a), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪TAYAMMUM KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Tayammum karne ka tariqa kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Tayammum karne ka tariqa ye hai ki awwal dil me niyyath kare fir doono haath ki ungliya kushaada karke zameen par maare aur ziyada gard lag jaaye toh jhaadle fir usse saare muh ka mas’a kare fir dubara zameen par doono haath maarkar dahine haath ko baaye haath se aur baaye haath ko dahine haath se kohniyon sameth male.

⛲SAWAL:

➡Zuban se tayammum ki niyyath ada karte waqt kya kahe ?

🌟JAWAB:

▪Post--13 (b), 🌠 Anwar _e_ Shariat ☪

☪TAYAMMUM KA BAYAN☪

⛲SAWAL:

➡Kin cheezo se tayammum karna jayiz hai ?

🌟JAWAB:

➡Paak mitti, Patthar, Reth, Multani mitti, Gheru, Kachchi ya pakki Ith (Brick) Mitti aur Ith Patthar ya choone ki deewaro se tayammum karna jayiz hai.

⛲SAWAL:

➡Kin cheezo se tayammum karna na jayiz hai ?

🌟JAWAB:

➡Sona, Chandi, Tamba, Peetal, Loha, Lakdi, Almunium, Jasta, Kapda, Raakh aur har kisam ke galla se tayammum karna jayiz nahi, yaani jo cheeze aag me pighal jaati hai ya jalkar raakh ho jaati hai unn cheezo se tayammum karna jayiz nahi.

⛲SAWAL:

➡Tayammum karna kab jayiz hai ?

🌟JAWAB:

➡Jab paani par qudrath na ho toh tayammum karna jayiz hai.

⛲SAWAL:

➡Paani par qudrath na hone ki kya surath hai ?

🌟JAWAB: