Showing posts with label Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha. Show all posts
Showing posts with label Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha. Show all posts

Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha | Part Wise Links

▫Part --01 | HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU ANHA

✴Ye Ameerul Momineen Hazrath- E-Abu Bakr Siddiq RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Sahebzadi Hain.
❇ Inki Maa Ka Naam Umme Ruman Hai. Inka Nikah Huzoor E Aqdas SallahuAlaihiWaSallam Se Qable Hijrat Makka-e-Mukarrama Me Huwa Tha.

Lekin, Kashane Nabuwwat Me Ye Madine Munawwara Ke Andar Shawwal 2 Sane Hijri Me Aayin.

▫Part --02 | HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU ANHA

❇ Ye Huzoor Ki Mehbuba Aur Bahut Hi Chahiti Biwi Hain.
✴ Huzoor E Aqdas SallahuAalaihiWasallam Ka Inke Bare Me Irshad Hai Ke Kisi Biwi Ke Lihaaf Me Mere Upar Wahi Nahi Utri.

Magar Hazrath Ayesha Jab Mere Sath Nabuwwat Ke Bistar Par Soti Rehti Hain to Is Halat Me Bhi Mujh Par Wahi Utarti Rehti Hai.

📚 (Bukhari Jild 1 Safa 532)

▫Part --03 | HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU ANHA

✴ Fiqha Wa Hadees Ki Uloom Me Huzoor Ke Bibiyon Ke Darmiyan Unka Darja Bahut Oncha Hai.
❇ Bade Bade Sahaba Inse Masail Pucha Karte the. Ibadat Me Bhi Inka Ye Aalam Tha Ke Namaz e Tahajjud Ki Behad Paband Thi.

Aur Nifli Roze Bhi Bahut Ziyada Rakhti Thi.

📚 (Jannati Jewar)

▫Part --04 | HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU ANHA

❇ Saqawat Wa Sadqaat Ke Maamle Me Bhi Huzoor Ki Sab Bibiyon Me Khaas Taur Par Bahut Mumtaz Thi.
✴ Umme Durra RadiAllahuTalaAnha Kehti Hain Ke Ek Martaba Kaheen Se Ek Laakh Dirham Unke Paas Aaye Aap Ne Usi Waqt Un Sab Dirhamon Ko Khairaat Kar Diya.

Us Din Wo Rozedaar Thi, Maine Arz Kiya Ki Aap Ne Sab Dirhamon Ko Baant Diya Aur Ek Dirham Bhi Aapne Baaqi Nahi Rakha Ke Usse Aap Gosht Khareed Kar Roza Iftiyar Karti .

To Aapne Farmaya Agar Tumne Pehle Kaha Hota to Mai Ek Darham Ka Gosht Maga Leti.

▫Part --05 | HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU ANHA

❇ Aap Ke Fazayil Me Bahut Se Hadeesen Aayin Hain. 17 Ramzan Mangal Ki Raat Me Sane 57 Ya Sane 58 Hijri Me Aap Ki Wafat Huwi.
✴ Hazrath Abu Hurrairah RadiAllahuTalaanhu Ne Aap Ki Namaze Janaza Padhayi.

Aur Raat Me Dusri Azwaje Mutahara Ke Sath Jannatul Baqi Ke Andar Madfoon Huwe.

📚(Zarkhani Jild 3 Safa 234 Waghaira)

▫Part --06 | HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU ANHA

💢 TABSIRA ~
✴Ye Umr Me Huzoor Ki Tamam Bibiyon Se Sabse Chhoti Thi.

Magar Ilm O Fazal Zohad O Taqwa Sakhawat O Shuja'at , ibadat O Riyazat Me Sabse Badh Kar Huyin. Isko Fazle Khudawandi Ke Siwa Aur Kya Kaha Ja Sakta Hai.

✴ Behre Haal Pyari Behno Hazrath Ayesha RadiAllahuTalaAnha Ki Zindagi Se Sabaq Hasil Karo.

Aur Achche-Achche Amal Karti Raho Apne Sauharon Ko Khush Rakho.

📚(Jannati Zewar)