☆ जब जन्नती बन्दा अल्लाह के दिदार करेंगे ☆

♥हदीस : सुहैब (रजी अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है की रसुलल्लाह (सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम) ने इरशाद फरमाया -"जब जन्नती जन्नत मे पहुंच जाएंगे तो अल्लाह तआला उनसे इरशाद फरमायेगा:
"क्या तुम चाहते हो की माजीद एक चीज अता करुं यानी तुमको जो कुछ अब तक अता हुआ है उस पर माजीद एक खास चीज इनायत करुं....??"

ओ कहेंगे : "क्या आपने हमारे चेहरे रौशन नही कर दिये और क्या आपने हमे दोजख से बचाकर जन्नत मे दाखिल नही कर दिये...?? (अब इसके अलवा और क्या चीज हो सकती है जिसकी हम ख्वाहीश करें!....
बंदो के इस जवाब के बाद) फिर अल्लाह तआला पर्दा हटा देगा (जिसके बाद ओ अल्लाह तआला का दिदार करेंगे)

अब उनका ये हाल होगा की जो कुछ अब तक इन्हें मिला था उन सबसे ज्यादा महबुब उनके लिए अपने रब की

▫Post-- 2G | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

NAMAZ Padhte Me Jeb Me Koi Sheeshi Thi Jisme Peshab Ya Khoon Ya Sharab Hai To Namaz Nahi Hui.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-392}

Mas'ala:

Peshab Ki Bareek Chhiten Sooi Ki Nook Ke Barabar Agar Badan Ya Kapde Pe Lag Jaye To Badan Aur Kapda Dono Pak Hai, Aur Aisa Kapda Paani Me Mil Jay To Paani Bhi Pak Rahega.
{الفتاوٰی الھندیة، كتاب الطهارة، الباب السابع في نجاسةوأحكامها، الفصل الثاني، جلد-۱، صفحہ-۴۶}

Mas'ala:

Kisi Kapde Ya Badan Par Chand Jagah Najasate Galizah Lagi Hai Aur Kisi Jagah Dirham Ke Barabar Nahi, Magar Kul Mila Jaye To Dirham Ke Barabar Hoti Hai To Dirham Hi Samjha Jayga Aur Agar Ziyadah Hai To Ziyadah Hi Samajha Jayga, Najasate Khafifa Me Bhi Kul Milakar Hi Hukm Diya Jayga.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-393}

Mas'ala:

Raste Ki Keechad Pak Hai Jab Tak Uska Najis Hona Malum Na Ho, Agar Paon Ya Kapde Me Lagi Aur Be-Dhoye Namaz Padh Lee To Ho Gai Magar Dho Lena Behtar Hai. Yun Hi Sadak Pe Paani Chidka Ja Raha Uski Chiten Ud Kar Lagi To Kapda Ya Badan Napak Na Hoga Magar Dho Lena Behtar Hai.
{الدرالمختار" و "ردالمحتار" کتاب الطھارة، مطلب في العفو عن طين الشارع، جلد-۱، صفحہ-۵۸۳}

Mas'ala:

Aadmi Ki Khal Agar Thode Paani Me (Agar Bade Paani Me Gire Jaise Dah Dardah Haoz Ya Talab Nadi Etc Me To Napak Na Hoga) Gir Jaye To Wo Napak Ho Gaya Agar Che Khal Nakhun Ke

▫Post-- 2F | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Hathi Ke Sond Ki Ratubat Aur Sher Kutte Chite Aur Dusre Darindon Chopayon (4 Pair Wale) Ka Luaab (Thook) Najasate Galizah Hai.
{Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-391}

Mas'ala:

Jin Janwaron Ka Gosht Halal Hai (Jaise Gaye, Bail, Bhains, Bakri, Oont Wagera) Unka Peshab Neez Ghode Ka Peshab Aur Jis Parinde Ka Gosht Haram Hai Khawah Wo Shikari Ho Ya Na Ho (Kauwwa, Cheel, Shikra, Baaz, Behri) Uski Beet Najasate Khafifah Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-391}

Mas'ala:

Chimgadar Ki Beet Aur Peshab Dono Pak Hai.
{Fatawa Alamgiri, Jild-1, Page-46}

Mas'ala:

Jo Parinde Uncha Udte Ho Jaise Kabootar, Maina, Murgabi Unki Beet Pak Hai.

▫Post-- 2E | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Khushki (Zameen) Ke Har Janwar Ka Behta Khoon Aur Murdar Ka Gosht Aur Charbi (Yani Wo Janwar Jisme Behta Hua Khoon Hota Ho Agar Wo Bagair Zabah Kiye Mar Gaya To Murdar Hai

Ya Phir Kisi Majoosi (Aag Ki Puja Karne Wala)

Ya But Parast (Hindu)

Ya Murtad Jo Islam Se Phir Gaya Jaise Wahabi/Deobandi Ne Halal Janwar Masalan Bakra, Bakri, Gaye, Bail, Zabah Kiya Ho To Uska Gosht Post Sab Napak Ho Gaya Aur Haram Janwar Ko Shari Tariqe Se Zabah Kiya To Uska Gosht Pak Ho Gaya Magar Khana Haram Hai, Siway Suwwar Ke, Ke Wo Pura Ke Pura Napak Hai Kisi Tarah Pak Nahi Ho Sakta).

Haram Chopaye Jaise Kutta, Sher, Lomri, Billi, Chuha, Gadha, Khachchar, Hathi, Suwar Ka Pakhana Peshab Aur Ghode Ki Leed Aur Har Halal Chopaye Ka Pakhana Jaise Gaye Bhains Ka Gobar Bakri

▫Post-- 2D | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Dukhti Ankh Se Jo Paani Nikle Wo Najasate Galizah Hai, Yun Hi Naaf Ya Pistan (Chhati) Se Dard Ke Saath Jo Pani Nikle Wo Najasate Galizah Hai.
{بھارشریعت، حصہ-۲-صفحہ-۳۹۰}

Mas'ala:

Doodh Peete Bachche Ka Peshab Bhi Najasate Galizah Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-390}

Mas'ala:

Doodh Peete Bachche Ne Agar Muh Bhar Ke Doodh Paltaya (Ulti Ki) To Wo Bhi Najasate Galizah

▫Post-- 2C | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Najasate Khafifa Ka Hukm Galiza Se Alag Hai.

Najasate Khafifa Agar Kapde Ya Badan Ke Jis Hisse Pe Lage Aur Chaothai Hisse Se Kam Lagi Hai To Muaaf Hai Be Dhoye Namaz Ho Jaygi Agar Chaothai Ke Barabar Hai To Bina Dhule Namaz Nahi Hogi.

Example-

Agar Najasate Khafifah Pair Me Lage Haath Pe Lage Ya Aasteen Ya Kurte Ya Pajame Pe Lagi To Dekho Us Hisse Ke Chaothai Ke Barabar Hai Ya Kam ?
Phir Jaisa Ho Masle Ke Mutabiq Amal Kare.

*Mas'ala:*

Insan Ke Badan Se Koi Aisi Chiz Nikle Jisse Wazu Ya Gusl Wajib Hota Ho To Use Najasate GALEEZAH Kehte Hain.

Pakhana.
Peshab.
Behta Khoon.
Peep.
Muh Bhar Qay (Ulti)
Haiz O Nifas Aur Khune Istehaza.

▫Post-- 2B | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Jise Najasate Galizah Kehte Hain Uska Hukm Ye Hai Ki Agar Wo Kapde Ya Badan Pe 1 Dirham Se Ziyadah Lage To Uska Paak Karna Zaroori Hai Bepak Kiye Uspe Namaz Hogi Hi Nahi.

Agar Qasdan Padhi To Gunehgar Hua Aur Ba-Niyyate Istekhfafa (Namaz Ko Halka Jaan kar) Padha To Kafir Hua.

Aur Agar Najasate Galiza 1 Dirham Ke Barabar Hai To Kapde Ya Bada Ko Pak Karna Wajib Hai.
Aise Surat Me Namaz Padhi To Dhorana Wajib Hai.

Agar Dirham Se Kam Lagi Hai To Aisi Surat Me Kapde Ya Badan Ka Pak Karna Sunnat Hai.
Agar BePak Kiye Namaz Padha To Ho Gai Magar Sunnat Ke Khilaf Aisi Namaz Ka Dohrana Behtar Hai.
{بھارشریعت، حصہ/۲/صفحہ/۳۸۹}

Mas'ala:

Najasat Agar Garhi (MOTI) Hai Jaise Gobar Pakhana Ya Leed To Dirham Ke Wazan Ka Aitebar

▫Post-- 2A | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 2 " NAJASATON KA BAYAN "
______________________________________


Hamari Namaz Sahi Tab Hogi Jab Wazu Sahi Hoga, Wazu Sahi Tab Hoga Jab Hamara Gusl Sunnat Ke Mutabiq Hoga.

Hum Me Aksar Logo Ko Alhamdulillah Wazu Gusl Namaz Ka Mukammal Tariqa To Malum Hai Magar Jab Napak Chiz Badan Ya Kapde Par Lage To Kya Kapda Ya Badan Pura Napak Hoga Ya Sirf Utne Hi Hisse Ko Dhone Se Wo Pak Hoga?

Aur Wo Kaunsi Nijasat (Gandagi) Hai Jiske Lagne Se Badan Ya Kapde Ke Us Hisse Ka Pak Karna Zaroori Hai Ye Bhi Pata Hona Chahiye.

Dekhiye Jis Tarah Namazi Ke Badan Ka Pak Hona Zaroori Hai Usi Tarah Uske Kapde Aur Us Jagah

▫Post-- 1G | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 1 " ISTINJE KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Jise Peshab Ke Baad Qatre Aane Ka Ehtemal Ho Uspe ISTIBRA Karna Wajib Hai.
Istibra Tahelne Se Hota Hai Ya Zameen Pe Zor Se Paon Mare Ya Unchi Jagah Niche Utre Ya Niche Se Upar Chadhe, Ya Itna Chale Ki Baqya Jame Qatre Nikal Jaye.
Istibra Ka Hukm Mardon Ke Liye Hai Aurat Ke Liye Hukm Hai Ki Hajat Se Faragat Ke Baad Thodi Der Ruk Kar Taharat Kare. 
{الفتاوٰی الھندیہ. کتاب الطھارة، الباب السابع فی النجاسة وأحکامھا، الفصل الثالث' جلد/۳،صفحہ/۶۹}

Mas'ala:

Wazu Ke Bache Pani Se Taharat Karna Durust Nahi Aur Taharat Ke Bache Paani Se Wazu Kar Sakte

▫Post-- 1F | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 1 " ISTINJE KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Aage Ya Piche Se Jab Nijasat Nikle To Dhelo Se Istinja Karna Sunnat Hai Aur Agar Sirf Pani Se Hi Dhoya Tab Bhi Jayez Hai Magar Mustahab Hai Ye Hai Ki Dhelo Ke Baad Pani Se Taharat Kare.
📜{Fatawa Hindiya, Jild-1, Page-48}

Mumbai Jaise Bade Shaher Me Dhele Mushkil Se Milte Hain Aur Na Masjid Me Rakhe Hote Hain Is Liye Yahan Faqat Paani Se Taraharat Khoob Achche Se Kare.

Mas'ala:

Kankar Patthar Phata Hua Kapda Ye Sab Dhele Ke Hukm Me Hai, In Se Bhi Saaf Karna Bila Karahat

▫Post-- 1E | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 1 " ISTINJE KA BAYAN "
_____________________________________


Mas'ala:

Jab Tak Baithne Ke Qareeb Na Ho Badan Se Kapda Na Hataye Aur Na Hajat Se Ziyadah Badan Khole, Phir Dono Paon Kushdah Kar Ke Ulte Paon Pe Zor De Kar Baithe, Kisi Deeni Masle Par Gaor Na Kare Ki Ye Baise Mehroomi Hai.

Chheenk Ya Salam Ya Azan Ka Jawab Zaban Se Na De, Aur Agar Chinke To Zaban Se Alhamdulillah Na Kahe, Dil Me Keh Le, Aur Bagair Zaroorat Apni Sharmgah Na Dekhe Aur Na Us Gandagi Ko Dekhe Jo Badan Se Nikli Hai.

Der Tak Na Baithe Isse Bawaseer Ka Andesha Hai, Aur Peshab Me Na Thuke Na Nak Saf Kare Na Bila Zarurat Khinkhare Na Bekar Me Baar Baar Badan Ko Chuye Na Aasman Ki Taraf Nigah Kare Balki Sharm Se Sar Jhukaye Rahe.

Jab Farig Ho Jaye To Mard Apne Aale Ki Jad Se Sire Tak Ulte Hath Se Ruke Huye Qatre Nikale,

▫Post-- 1D | 🔖 Haq Ki Bandagi ✅

✒Chapter- 1 " ISTINJE KA BAYAN "
______________________________________

Mas'ala:

Kuwen Ya Hauz Ya Chashma Ke Kinare Ya Behte Paani Me Ya Ghaat Pe Ya Phaldar Darakht Ke Niche Ya Us Khet Me Jisme Fasal Ho Ya Jahan Log Uthte Baithte Hon Ya Masjid Ya Eidgah Ke Bagal Me Qabrastan Ya Raste Me Ya Jis Jaga Maweshi (Paltu Janwar) Bandhe Hon Un Sab Jagho Par Pakhana Ya Peshab Karna Makrooh Hai, Isi Tarah Jahan Gusl Ya Wazu Hota Ho Wahan Peshab Karna Makrooh Hai.
📜{Fatawa Hindiyah, Jild-1, Page-50}

Mas'ala:

Aisi Sakht Zameen Pe Peshab Karna Jisse Cheeten Ud Kar Aayen Mana Hai, Aisi Jagah Ko Kured Kar Narm Kare Ya Zara Sa Garha Khod Le.
📜{Alamgiri, Jild-1, Page-50}

Mas'ala:

Khade Ho Kar Ya Pura Nanga Ho Kar Peshab Karna Makrooh Hai, Neez Nange Sar Peshab Pakhana